Skip to main content

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imka'n jana'n

 
 
 
ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imka'n jana'n
yad kya tujh ko dilayein tera paima'n jana'n


yun hi mausam ki ada dekh k yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insa'n jana'n

zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
hu ne jaise bhi basar ki tera ehsa;n jana'n


dil yeh kehta hai k shayad ho fasurda tu bhi
dil ki kia bat karein dil to hai ada'n jana'n


aww-awwal ki mohobbat k nashe yad to kar
bepiye bhi tera chehra tha gulista'n jana'n


aaKhir aaKhir to ye aalam hai k ab hosh nahi
rag-e-meena sulag uthi k rag-e-jaan jana'n


muddaton se yeh alam na tavaqqo na ummeed
dil pukare hi chala jata hai jana'n jana'n


hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakha tha
Ghum-e-dayran se juda hia ghum-e-jana'n


ab k kuch aisi saji mahafil-e-yara'n jana'n
sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-gireba'n jana'n


har koi apni hi awaz se kaanp uThta hai
har koi apne hi saaye se hirasaa'n jana'n


jis ko dekho wohi zanjeer-ba-paa lagtaa hai
sheher ka sheher hua daaKhil-e-zindaa'n jana'n


ab tera zikr bhi shayad hi Ghazal mein aye
aur se aur hua dard ka unvaa'n jana'n


hum k rooThi hui rut ko bhi manaa lete the
hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraa'n jana'n


hosh aayaa to sabhi Khvaab the rezaa-rezaa
jaise urte hue auraaq-e-paresha'n jana'n

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng