Skip to main content

Ye na samajh k bichra hoon too bhool gaya hoon

Ye na samajh k bichra hoon too bhool gaya hoon
Teri dosti ki khushbo mere hathoon main aaj bhi hai

Mohabbat se bhar ker mujhe tum se aqidat hai aye dost
Ye muqaam tera buland tera sab doston main aaj bhi hai

Tu woh hai jo barson ki talash ka samer hai
Tumhain sochna meri yaadon main aaj bhi hai

Ye aur baat hai k majburiyon ne nibhane na di dosti
Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai

Mera her shair meri chahton ki gawahi de ga
Chahton ki khushbo inn lafzon main aaj bhi hai

Zindagi main jis ko bhar ker chaha wo tum he ho
Wasy shamil her shakhs mare doston main aaj bhi hai

Shairon ka lafz lafz tasawar bana hai
Safhy safhy main ek aks kitabon main aaj bhi hai

Her lamha zindagi main mohabatain naseeb hoon tumhain
Shamil meri duaon main tu aaj bhi hai........!!!

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.