Skip to main content

Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhe

Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhe
Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhe

Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhe

Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-e-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe

Mai Kia Hon, Kis Jagah Hon, Mujhay Kuch Khabar Nahi
Hain Aap Kitnay Duur Zara Sada Dijiye Mujhe

Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja
Mai Maanta Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhe

Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath
Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhe

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhe

Jaltey Dinon Mei Khud Pass-e-Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justaju Mein Laga Dijiyey Mujhe

Yon To Shola-e-Jaan Sard Ho Chuka
Likin Sulag Uthoon To Hawa dijiye Mujhe

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.