Skip to main content

Dosti ka farz nibhaya tum ne

Dosti ka farz nibhaya tum ne
Dil ko dharakna sikhya tum ne
Zindagi ki rahoon mein...
Humesha dil mein samaya hai tum ne
In anderi rahoon mein roshni ka chirag laye ho tum
Jaise dhoop mein khara hoon mein aur saye ho tum
Saba ki in tez raftaroon mein
Asman say aye tarey ho tum
Tareef mein tumhari abb kia kahoon mein
Banyan nhi kar skta inhen lafzoon mein
Kabhi door nhi hona mujh say
Rakhna humesha apne khayaloon mein.

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng