main Khayaal huuN kisii aur kaa, mujhe sochataa koii aur hai
sar-e-aaiinaa meraa aks hai, pas-e-aaiinaa koii aur hai
main kisii ke dast-e-talab me.n huuN, to kisii ke harf-e-duaa m.n huuN
main nasiib huuN kisii aur kaa, mujhe maaN gataa koii aur hai
kabhii lauT aaye.N to na puuchhanaa, sirf dekhanaa ba.De Gaur se
jinhen raaste men Khabar huii ki ye raastaa koii aur hai
ajab aitabaar-ba-aitabaarii ke daramiyaa.N hai zindagii
main kariib huu.N kisii aur ke, mujhe jaanataa koii aur hai
vahii munsifon kii rivaayaten, vahii faisalon kii ibaaraten
meraa jurm to koii aur thaa, par merii sazaa koii aur hai
terii roshanii merii Khaddo-Khaal se muKhtalif to nahiin magar
tuu qariib aa tujhe dekh luuN, tuu vahii hai yaa koii aur hai
Merii zindagii kisii aur kii, mere naam kaa koii aur hai
merii zindagii kisii aur kii, mere naam kaa koii aur hai
mera aks hai sar-e-aaiinaa, pase aaiinaa koii aur hai
merii dha.Dakano.n me.n hai chaap sii, ye judaaii bhii hai milaap sii
mujhe kyaa pataa, mere dil bataa, mere saath kyaa koii aur hai
na gaye dino.n ko Khabar merii, na shariik-e-haal nazar terii
tere des me.n, mere bhes me.n, koii aur thaa koii aur hai
vo merii taraf nigaraa.N rahe, meraa dhyaan jaane kahaa.N rahe
merii aa.Nkh me.n kaii suurate.n, mujhe chaahataa koii aur ha
Comments
Post a Comment