Skip to main content

Bohat Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko

Bohat Door Hai Tu Mager Phir B Hum Ko
Teray Pass Anay Ko Dil Chahata Hai


Dosti Tujh Say Nahi Teri Seerat Say Ki Hai
Is Liye Dost Bananay Ko Dil Chahata Hai


Bharoosa Na Tha Dosti Par Kabi Hum Ko
Teray Milnay Ke Bad Bharoosa Karnay Ko Dil Chahata Hai



Hamain Narazgi Main Is Terhan Manaya Hai Tu Nay
K Phir Ruth Janay Ko Dil Chahata Hai


Tu Acha Hai Tujh Say Tu Rutha Na Jaye
Per Tujhay Satanay Ko Dil Chahata Hai


Dosti Nay Diya Bohat Faraib Hum Ko Mager
Teri Dosti Ko Nibhanay Ko Dil Chahata Hai


Tu Sehta Hai Sab Kuch Magar Piyar Kerta Hai
ALLAH Say Tujhay Mangnay Ko Dil Chahata Hai

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.