paas itna kyon mere aa rahe ho
pyaar itna kyon jataa rahe ho
manzoor nahi humko pyaar tumhara
phir kyon mere peeche aa rahe ho
thak gayin hoon main zakhm bharte-bharte
tum kyon inhe aur barhaa rahe ho
andheron mein seekh liya hai jeena
chiragoN ko kyon jalaa rahe ho
tanhaaii mein umar hai guzri
kyon mehfilon mein bulaa rahe ho
uljhi huyi hai merii zindagani
tum kyon ise suljhaa rahe ho
ghamoN se hai apna rishta purana
tum kyon inhe cheene jaa rahe ho
ho sakta nahi sach jo kabhi bhi
sapney aise kyon dikha rahe ho
rahne bhi do mujhe mere haal pe
kyon tum mujhe samjhaa rahe ho
mar chuka hu main kabka
laash meri,ab kyon jala rahe ho
pyaar itna kyon jataa rahe ho
manzoor nahi humko pyaar tumhara
phir kyon mere peeche aa rahe ho
thak gayin hoon main zakhm bharte-bharte
tum kyon inhe aur barhaa rahe ho
andheron mein seekh liya hai jeena
chiragoN ko kyon jalaa rahe ho
tanhaaii mein umar hai guzri
kyon mehfilon mein bulaa rahe ho
uljhi huyi hai merii zindagani
tum kyon ise suljhaa rahe ho
ghamoN se hai apna rishta purana
tum kyon inhe cheene jaa rahe ho
ho sakta nahi sach jo kabhi bhi
sapney aise kyon dikha rahe ho
rahne bhi do mujhe mere haal pe
kyon tum mujhe samjhaa rahe ho
mar chuka hu main kabka
laash meri,ab kyon jala rahe ho
Comments
Post a Comment