Skip to main content

Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab...

Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab...

Is rangein duniya mein udasi ka sabab...

Is terha toot kay chahne ka sabab...

yun apne dil mein Basane ka sabab...


har lamha us ko sochne ka sabab...

apne naam Se yun jorne ka sabab...

bahoon mein rakhne ki tamana ka sabab...

labon se choone ki tamana ka sabab..

juda ho janay kay dar ka sabab...

kho janay kay dar ka sabab...

bichar janay kay dar ka sabab...

bhool janay kay dar ka sabab...

kia kahoon mein...kia kehta

bas yahi keh saka...Kay

tum meri ho

mujhay tum se mohabat hai..

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng