Skip to main content

chhupaaye dil me.n Gamo.n kaa jahaan baiThe hai.n

chhupaaye dil me.n Gamo.n kaa jahaan baiThe hai.n
tumhaarii bazm me.n ham bezabaan baiThe hai.n

ye aur baat ki manzil pe ham pahu.Nch na sake
magar ye kam hai ki raaho.n ko chhaan baiThe hai.n

fuGaa.N hai dard hai soz-o-firaaq-o-daaG-e-alam
abhii to ghar me.n bahut meharabaan baiThe hai.n

ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii
luTaa ke ishq me.n naam-o-nishaan baiThe hai.n

vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai
jise shariat-e-ehasaas maan baiThe hai.n

hai maikado.n kii bahaaro.n se dostii 'Sagar'
baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baiThe hai.n

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.