Skip to main content

Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se

"~*~Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,~*~
~*~Pyaar Chupta Nahin Chupane Se~*~

~*~Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,~*~
~*~Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.~*~

~*~Pyar Dil Mein Hai To Lao Zabaan Pe,~*~
~*~Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.~*~

~*~Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,~*~
~*~Paa K Phir Se Tumhein Ganwane Se.~*~

~*~Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,~*~
~*~Mil Liye Apne Ek Deewane Se.~*~

~*~Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,~*~
~*~Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.~*~

~*~Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,~*~
~*~Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.~*~

~*~Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,~*~
~*~Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.~*~

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng