Skip to main content

Tu Door Hai Mujhse, Par Paas Bhi Hai.

Tu Door Hai Mujhse, Par Paas Bhi Hai.
Teri Kami Mein Kahin, Tera Ehsaas Bhi Hai.

Tujhse Se Dost Hain Lakhoon Jahan Mein Mere
Par Tu Dost Bhi Hai Aur Khaas Bhi Hai

Tune Khushiyan Mujhe Itni Di Hain Ke Aaj
Tujhe Khone Ka Dil Mein Ehsaas Bhi Hai

Khuda Ne Yun Nawaza, Teri Dosti Se Mujhe
Ke Mujhe Khud Pe Gumaan Hai Aur Naaz Bhi Hai

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng