Skip to main content

Itna hi yaad rakh mujhe

Itna hi yaad rakh mujhe
Jaise kisi kitaab mein
Beetey dinon ke dost ka
Khat ik para huwa miley
Lafz mitey mitey se hon
Rang uraa uraa sahi
Lekin woh ajnabi na ho
Uth kar tere galey lage
Bhoole huwe tamaam dukh
Guzrey huwe tamaam sukh
Beetey dinon ki kathaa
Tujh se kahe aur ro pare
Itna hi yaad rakh mujhe
Beetey dinon ke dost ka
Jaise koi khat hoon main
Rakha huwa kitaab mein-

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng