Skip to main content

aye mohabbat teray anjaam pay rona aaya



aye mohabbat teray anjaam pay rona aaya,
janay kyun tayray naam pay rona aaya,

yoon tou her shaam umeedon main guzar jaati thii,
ajj kuch baat hay jo sham pay rona aaya,

kabhi taqdeer ka maatam kabhi dunya ka gila,
marzi-yeh ishq main her kaam pay rona aaya,

jab hua zikar zamanay main mohabbat ka faysal
mujh ko apnay dil-e-naqam pay rona aaya

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.