Skip to main content

Koi kehta hai pagal muj Ko

Koi kehta hai pagal muj Ko
To Soch Mein mai par jata hoo

K q kar pagal kehlaya
Kya pagal pan hai dikhlaya
Jab apnay aap se poocha to
Kuch batein milin jin se shayad
Mein pagal pagal dikhta hoon
Kuch qasmein thin jo yaad rakhin

Kuch wadon ko abaad rakha
K kahin na ye gum ho jaein
Kuch waday thay kiye ham ne jo
Un pe qaim rehne k liye
Ik koshsih hamesha jaari hai
Dar hai k gar aisa

na kiya

Kamzor kahin na par jaein
Kya isko kehtay ho pagal?
Gar aisa hi hai to sun lo
Mujay fakhar hai k mein pagal hoon
Mujay pyar hai is pagal pan se
Mein pagal rehna chahta hoon!
Mein pagal rehna chahta hoon!
Mein pagal rehna chahta hoon!

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng