Skip to main content

Woh anna parast sahi uss ke baaton mein iqrar bhi tha

Woh anna parast sahi uss ke baaton mein iqrar bhi tha
Uss ke chubte huwe lahje mein chupa pyar bhi tha

Woh Mujhe likta tha muntzir na rehna lekin
Uss ke tehreer mein saadiyon ka intizar bhi tha

Woh kehta hai ke mat rootho ke manana nahi atta
Mere naragi pe lekin woh beqarar bhi tha

Woh shayad phir na likta usay apni khabar lekin
Dosti ka bharam rakhna tha,kuch dil beikhtiyar bhi tha

Shayad yehi uss ka andaz-e-mohabbat ho faysal
Woh Mera humdam bhi tha aur sitam shiyar bhi tha

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.