Skip to main content

tum door ho kay be meray pass rehtay hoo

tum door ho kay be meray pass rehtay hoo

meray dil mey bastay ho meray saath rehtay hoo

shab-e-tanhi ke ik ik gharee phool bantee hey

khushbu ban kay tum mera angaan mehkatay hoo

tumare yaad ke hidatt say jab jalta hey dil mera

tab tum payar ka sawan ban ky baras jatay hoo

jab be kabi woh surmaee ankhyn uthtee haan

mera dil machalta hey aur tum sansay ban jatay hoo

shab-e-hijraan may chamaktay meh-o-anjum

sab mandd pertay haan janaa jab tum samnay atay hoo

tumaray sard rawaye pey haan jalta hey jee mera

kiun khud be tarapty ho aur mujko be tarpatay hoo

Comments

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng