Skip to main content

Rok lo Qadam Jee bhar ke dekhlo

Rok lo Qadam Jee bhar ke dekhlo
Hamara tumhara saath bas yahin tak tha

Manzil milay na milay ab hamari Kismat
Ke Zindagi ke sath safar bas yahin tak tha

Tum chal nahi sakte is se aage ek qadam
Ruk jao ke Phoolon ka Chaman yahin tak tha

Aage arahe hain gham mujh se milne gale
Ke apni khushiyon ka thikana bas yahin tak tha

Uttho aur naye Hamraahi talash karo
Ke yeh khuwaab Suhana bas yahin tak tha

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.