Skip to main content

Agar hum kahein aur woh muskura dein

Agar hum kahein aur woh muskura dein
Hum un ke liye zindagni luta dein

Har ik mor par hum ghamun ko saza dein
Chalo zindagi ko mohabat bana dein

Agar khud ko bhule to kuch bhi na bhule
Ke chahat mein un ke khuda ko bhula dein

Kabhi ghum ke aandhi jinhe chu na paaye
Wafaun ke hum woh nasheman bana dein

Saza dein ke na dein bana ke mita dein
Magar woh koi faisila to suna dein

Comments

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.