Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2012

Jab Tasawwur Mera Chupke Se Tujhe Chhu Aaye

Jab Tasawwur Mera Chupke Se Tujhe Chhu Aaye apni Har Saans Se Mujhko Teri Kushbu Aaye mashagala Ab Hai Mera Chaand Ko Takte Rahana raat Bhar Chain Na Tujh Bin Kisi Pahalu Aaye ghantiyaan Bajne Lageen Hijr Ke Sannaate Se gunagunaata Hua Aaise Mein Agar Tu Aaye jab Kabhi Gardish-e-dauraan Ne Sataaya Mujhko meri Jaanib Tere Phaile Huye Baazu Aaye

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khaab Aate Hain

Ab To Is Tarah Meri Aankhon Mein Khaab Aate Hain jis Tarah Aayeene Cheharon Ko Taras Jaate Hain ehatiyaat Ahal-e-mohabbat Ke Isi Shahar Ke Log gul-ba-dast Aate Hain Aur Kwaabaa-rasan Jaate Hain jaise Tazabeez-e-taalluq Ki Bhi Rut Ho Koi zakm Bharate Hain To Ahabaab Bhi A Jaate Hain har Kadi Raat Ke Baad Aisi Qayaamat Guzari subaho Ka Zikr Bhi Aaye To Laraz Jaate Hain

Jahaan Talak Bhi Ye Sahara Dikhaai Deta Hai

Jahaan Talak Bhi Ye Sahara Dikhaai Deta Hai meri Hi Tarah Se Akela Dikhaai Deta Hai na Itani Tez Chale Saraphiri Hawa Se Kaho shajar Pe Ek Hi Patta Dikhaai Deta Hai ye Ek Abr Ka Tukada Kahaan Kahaan Barase tamaam Dasht Hi Pyaasa Dikhaai Deta Hai wo Alawida Ka Manzar Wo Chhalakati Palaken pas-e-gubaar Bhi Kya Kya Dikhaai Deta Hai  

Nagri Nagri Phira Musaafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya

Nagri Nagri Phira Musaafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraaya Bhool Gaya kya Bhula Kaise Bhoola Kyon Poochhate Ho Bas Yoon Samajho kaaran Dosh Nahi Hai Koi Bhoola Bhaala Bhool Gaya jisko Dekho Usake Dil Mein Shiqwa Hai To Itana Hai hamein To Sab Kuch Yaad Raha Par Hamko Zamaana Bhool Gaya koi Kahe Ye Kisane Kaha Tha Kah Do Jo Kuch Ji Mein Hai mera Ji Kah Kar Pachhataaya Aur Phir Kahana Bhool Gaya  

Dukh Ki Laher Ne Chheda Hoga

Dukh Ki Laher Ne Chheda Hoga yaad Me Kankar Pheka Hoga aaj To Mera Dil Kehta Hain, woh Is Waqt, Akela Hoga. main To Aaj Bahut Roya Hu, tu Bhi Shayad Roya Hoga. mere Chume Huye Haathon Se, aur Ko Khat Likhta Hoga. mera Sathi Sam Ka Tara, tujhase Aakh Milata Hoga. yaadon Ki Jalti Shabnam Se, phoolon Sa Mukhra Dhoya Hoga. naasir Tera Meet Purana, tujhko Yaad To Aata Hoga.

Sochate Aur Jaagte Saanson Ka Ek Dariya Hoon Main

Sochate Aur Jaagte Saanson Ka Ek Dariya Hoon Main, apne Guldastha Kinaro Ke Liye Bahta Hu Main jal Gaya Sara Badan, In Maasoom Ki Aag Me, ek Maasoom Rooh Ka Hai, Jismein Ab Zinda Hu Main mere Honto Ka Tabasoom, De Gaya Dhoka Tujhe, tumne Mujhko Baag Jana, Dekhle Sahara Hu Main. dekhe Meri Pajirayi Ko Aab Aata Hai Kaun, lamha Bhar To Waqt Ki, Dahliz Par Aaya Hu Main.

Kaun Hai Jisane May Nahi Chakkhi

Kaun Hai Jisane May Nahi Chakkhi kaun Jhoothi Qasam Uthaata Hai mayakade Se Jo Bach Nikalata Hai teri Aankhon Mein Doob Jaata Hai ham Tumhen Aisi Pila Denge Tum Aao To Sahi hosh Ka Naam Bhula Denge Tum Aao To Sahi jaam Botal Se Bharo Aur Laga Lo Munh Se tumako Peena Bhi Sikha Denge Tum Aao To Sahi aaj Kal Roz Hai Mayakaane Mein Aana Jaana tumako Saaqi Se Mila Denge Tum Aao To Sahi kya Kaha Gam Ne Sata Rakha Hai Toba Toba gam Ko Thodi Si Pila Denge Tum Aao To Sahi

dil ki batain bata deti hain ,' aankhen'

dil ki batain bata deti hain ,' aankhen'  dharkanon ko jaga deti hain ,'aankhen'  dil pe chalta nahi jaadoo ,chehron ka kabhi  dil ko to ,deewana bana deti hain, 'aankhen'  woh zubaan se izhaar nahi karte to na kare,  haal -e-dil suna deti hain, 'aankhen' aata hai jab jawani ka daur ,to my love  sundar sapne ,basa deti hain ,'aankhen'  jab koi gum aata hai hum per,to b izhaar karti hain ,'aankhen  mana ke neend aati hai ,'aankhon ' me hi  magar kabhi kabhar ,neend ura deti hain ,'aankhen'  to dekha tumne mere yaar khushi ho ya gum izhaar karti hain aankhen...............................  

VERANIAN ACHI LGTI HAIN TANHAIYAN ACHI LGTI HAIN

VERANIAN ACHI LGTI HAIN TANHAIYAN ACHI LGTI HAIN  MJKO GHAM-E-SANJOG KI KHAMOSHIYAN ACHI LGTI HAIN FIZAON MAY URNA BADLON KO CHULAINA KHUABHI TO HY  TABIRAIN NA SAHI PR PANCHIYAN TO AZAD HI ACHI LGTI HAIN BE RUSWAI KI RAVISH PR MOHABAT LAKH RUSWA SAHI  PHIR BHI GHAZLEIN TO MOHABAT KI ACHI LGTI HAIN YOUN TO SAFAR TE HOTA HY ANDHERON MAY BHI  PR MANZIL KI TALASH MAY ROSHNIYAN ACHI LGTI HAIN TM BIN JEENA MAHAL SAHI PR NA MUMKIN NAHI  K MJKO HIJR KI YE SHAMEIN BHI ACHI LGTI HAIN BAT BAT PR TMHARA NAAM LENA OR PHIR SOCHNA  K TMSE JURRI TO YADIEN BHI ACHI LGTI HAIN PAR JAE JB ZINDAGI PR UDASIYON KA QAHAT...................  TO KHUSHIYON KI MUSKURATI BARISHIEN ACHI LGTI HAIN MAY YAHAN TU WAHAN YE KaiSA WAQT-E-ZINDAGI HY  MOHABAT MAY TO QAREEB QAREEB ZINDAGIYAN ACHI LGTI HAIN DUNIYA DARI MAY IN AANKHO KO SANBHAL RKHNA  K MJKO YE MASOOM AANKHEN ACHI LGTI HAIN...

Suna hoga bohat tum ne...

Suna hoga bohat tum ne... kahiN aankhoN ki rim jhim ka  kahin palkoN ki shabnam ka parha hoga bohat tumne.... kahiN lehjay ki barish ka  kahiN sagar ke aansoo ka magar tum ne kabhi humdam...kahin daikhay kahin parkhay kisi tehreer ke aansoo mujhe teri judaai ne... yehi mairaaj bakhshi hai ke main jo lafz likhta hoN....woh saray lafz rotay hain  ke main jo harf bunta hoN...woh saray bain kartay hain  mere sang is judaai main...mere alfaz martay hain  sabhi tareef kartay hain...meri tehreer ki lekin..  kabhi koi nahin sunta...mere alfaz ki siski falak bhi jo hila daalay.. mere lafzoN main hain shamil...usi taseer ke aansoo kabhi daikho mere humdam meri tehreer ke aansoo ..

Kisi Ki AankhOon May KhwaB LikhnA Tou Soch Lena

Kisi Ki AankhOon May KhwaB LikhnA Tou Soch Lena  Falak Pay Koi Sahaab Likhna Tou Soch Lena Hain Roshni Kay Tamam Rasty Bujhy Bujhy Say  MusaFtOon Ko SaraaaB Likhna Tou Soch Lena Main PaniYoOn Kay HusaaR May Hun Gumaa’n JazEera  Gar Iski BaBat KitaaB Likhna Tou Soch Lena Main Dust-e-Furqat May Jalay KhaeMoOn Ko Dekhti Hun  Jhulastay Sahra Ko Aab Likhna Tou Soch Lena Mery MuQaDder Ki Dhalti ShaKhOon Say Poch Lena  Badalti RuTt Ka AzaaB Likhna Tou Soch Lena KhaLoOs-o-Maher-o-Wafa Ki RahaIn KaRri Hain  MuhaBbaToOn Ka NiSaaB Likhna Tou Soch Lena  

mohabbatoN meiN bhi ka'ee madd-o-jazar deikhey heiN

mohabbatoN meiN bhi ka'ee madd-o-jazar deikhey heiN  saba ki dastak pe toot'tey huwey ghar deikhey heiN meiN us ki sookhi hui aaNkhoN pe kya yaqeeN karta!  meiN ne thehrey huwey paani meiN bhaNwar deikhey heiN pat'tey toot'tey heiN to shaakoN ko khooN rulaatey heiN  tum ne khizaaN meiN kabhi ghaor se shajar deikhey heiN! kisi chaman ka mujhey koi nishaaN kaheeN na mila  haaN dasht ke saaey meiN ne ta'hadd-e-nazar deikhey heiN meiN ne na thakney ka sabaq seekha hey parindoN se  wo jab miley heiN un ke paroN meiN safar deikhey heiN nasha ho 'ishq' ka ya 'janm-o-janam' ke rishtoN ka  meiN ne dinoN meiN utartey ye asar deikhey heiN  

Jo DIL ko Be-kal rakhta hai, Woh Chand Nahein Ek CHERA hai,

Jo DIL ko Be-kal rakhta hai, Woh Chand Nahein Ek CHERA hai,  Jo Sham-o-Sehar Tarapta hai, Woh Phool Aisa Lehja he. Ek Aahat he, Har Raste Par, Ek Dard sa he, ManziL ManziL,  Kiya Janiye Qis Khoj mein Hai, Kiya Kahiye Kon AkaiLa Hai. Jin Shakhon Par Kuch Phool Khiley they, Chahat ke 100 Rang liye,  En Shakhon Par Ab Kuch Bhi Nahein, Ek Shookha Patta Thehra Hai. Kine he Vaadey Khuwab huwey, Kitnay he Bandhan Toot gaye,  Aye DiL, Aye DiL, Be-Taab Na ho, Yeh Duniya he Yeh Duniya hai. Lout Aye Jane Waley to Yeh Samgho DiL ki Jeet Hui,  Warna to Akaili Ra'hon par kab Lout k Koi Aata hai, Us Paikar Naz ko Kon Kahey, Ek Khuwab he Jaagti Aankhon ka,  Woh Aankhein kiya Kuch Kehti hein, Ab kon kahey Sab Dhoka Hai.

hamain to bas ye pta chla tha k oonthon waale chale gaye hain

hamain to bas ye pta chla tha k oonthon waale chale gaye hain kisi ko iski khabar nhi jo muamla khatam ho gya hay na titlion jesi dupehar hay na ab wo sooraj gulab jaisa jisse muhabbat kaha gya, wo mughalta khatam ho gya hay tumhari baaton k jin me shehtut jhar rhe hain ohi btayain k talkh aabad may hmara to zayqa khatam ho gya hay hmari aankhon se khawab-o-khas k tmama pushte htaye jayain k hmara naraz paanio se mu'ahda ho gya hay ab is liye bhi hamain muhabbat ko tool daina parega Tabish kisi ne poocha to kia kahain gaye silsila khatam ho gya hay?  

Hua karega har ek lafz mushkbaar apna

Hua karega  har ek lafz mushkbaar  apna  Abhi  sakooN se kiye jaao!  Intezaar  apna Utha liya hai bhalay  half jaaN – nisaari ka  Mujhe sanbhaal, ke hota huN bar bar apna Udaas aankhoN ko hai intezar fasl E muraad  Kabhi to mausam e jaN hoga saazgaar apna Tumhaare dar se uThaye gaye, malaal nahi  WahaN to chhoR ke aaye hain hum ghubaar apna Sabhi chiraaGh kamar-bastaa haiN hawa k khilaf  Bechaari le ke kahaaN jaye inteshaar apna Bahut buland hui jaati hai anaa ki faseel  So hum bhi tang kiye jaate haiN hisaar apna

Teri ummid, tera intezar jab se hai

Teri  ummid,       tera   intezar   jab   se   hai Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai Kisi ka dard ho karte haiN tere naam raqam Gilaa hai jo bhi kisi se, tere sabab se hai Hua hai jab se dil E na – saboor be – qaboo Kalam tujh se nazar ko baRe adab se hai Agar sharar hai to bhaRke, jo phool hai to khile Tarah tarah ki talab, tere rang e lab se hai KahaaN gaye shab E furqat ke jaagne wale Sitaara e sehari hum-kalaam kab se hai

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad

Phir Usi Raah Guzar Par Shayad Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad Jinke Hum Muntazar Rahe Unko Mil gaye Aur Humsafar Shayad Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad Ajnabeeyat ki Dhund Chhat Jaye Chamak Utthe Teri Nazar Shayad Zindagi Bhar Lahu Rulaayegi Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN ‘FARAZ’ Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!  

Kabhi gumaan, kabhi aetebaar ban ke raha

Kabhi gumaan,  kabhi aetebaar ban ke raha Dayaar e chashm mein wo intezaar ban ke raha Hazaar khaab meri milkiyat mein shamil the MaiN tere ishq mein sarmaya daar ban ke raha Tamaam umr  use chaahnaa na tha  mumkin Kabhi kabhi to wo is dil pe baar ban ke raha Usi ke naam karuN maiN tamaam ahd e khyal Daroon e jaaN jo mere sog-waar ban ke raha Agarche shahr meiN mamnu’ thi himaayat e khab Magar yeh dil sabab e inteshaar ban ke raha

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai

Ye dil mera jo bohat beqaraar rehta hai na jaane kiska isay intezaar rehta hai Wo duur ho ke bhi rehta hai saat-saat meray meray khayal ke rath par sawar rehta hai Kaha tha ishq na karna kisi se dil mairay junoo mein khud pay kaha ikhteyaar rehta hai Udaasi jeel sii ankhon say jab tapakti hai kinaray aab kohi sogwar rehta hai Ye dil darakta hai bas teri chaap ke sadqay mareez-e-shab ko tera intezaar rehta hai Kabhi to khul kay baras ja meri zameenon pay ke dasht-e-hijr mein haar suu ghubaar rehta hai Tu mujh Ebad ko izn-e-beyaan ataa kar day Ke baat karnay ko dil beqaraar rehta hai

tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua

tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua main kaise rangoon ki…pholoon ki batein karoon woh raang sarey jo ujaar gaye hain manoo mitti main soo gaey hain phool sarey gulshaan ke roo gaey hain zameen ki chaadar urhay soo gaey hain tum hi kahoo… yeh kaisa qissa hua main kaise khushboo aur titliyon ki batein karoon woh baba ki piyariyaan…bhaiya ki ladliyaan woh maam ki dulaariyaan jaa kar kahan hain woh soo gaien andhere rastoon main kahan woh khoo gaein zameen ki chadaar urhay woh soo gaein yeh kaisa manzur mayri ankhoon ne dekha jin mathoon pe hoti thi maa ke bosoon ki khushbo woh mathey aub zakhmon se choor hain woh maan hai kahaan??…uske boosay kahaan?? ankhein jaamid rahein…..dil bhi roota tha tum hi kahoo…. yeh kaisa qissa hua main kaise baharoon ki…kaliyon ki batein karoon yeh kaisa shikaasta sa aik baap hai uskay bazoo na’tawaan…zakhmoon se chor hai uskay bachay…uskey bazoo hain us se juda ho gaey bohot hairaat main woh… bohot wehshaat main woh ankhein be’khabar hain…..hoosh se na’peed

Pagal Ankhon Wali Larki

Pagal Ankhon Wali Larki Itne Mengay khawab Na Dekhoo Thak jahoo gi Kanch se Nazuk Khwab Tumhare Toot Gaye Toh Pastao Gi Tum Kia Jano Khwab….Safar Ki Doop Ke Teshay Khwab….Adohri Raat Ka Dozakh Khwab….Khayaloon Ka Patchtawa Khwabo Ka Hasil Tanhi Mengey Khwab Kareedna Ho toh Ankhain Betchna Parti Hain Rishty Bholna Partay Hain Andeshoon Ke Rath Na Phenko Khwabon Ke Oat Saraab Na Dekho Pyaas Na Dekho Itne Mangey Khwab Na Dekho Thak Jahoo Gayee

Aj Phir Shaam Dhalay

Aj Phir Shaam Dhalay Phir Wohi Dard Jaga Hay RaGoO’n May mEri Phir Wohi Aah Si Nikli Hay Mere SeeNy Say Phir Wohi KhwaB Say Tootay Hain Meri AankhOon MaY Phir Wohi Dard ki Talkhi hay Meri BaatOon May PhiR Wohi Ashk Say ThaRay Hain Meri PalkOon pay Phir Wohi RaaT si Jewan mAy Utar i Hay Phir Wohi Aakhri Manzer Hay Meri AankhOon May Aj Phir Shaam Dhalay Tum Mujhy YaaD I Ho !!!

Kisi Kamzoor Lamhey Main

Kisi Kamzoor Lamhey Main, Agar Main Tum Say Ye Keh Doon, Mujhey Tum Say “MUHABAAT“ Hai, Tum Ye Mat Samaj Lena, Kay………….!!!!!!!!! Mein Nay Sach Kaha Ho Ga, Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko, Aise dilbar Aadaoon Main Kehna, Mujhey Bachpan Say Aata Hai, Meri Aankhein Mera Chehra, Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja, ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager, Iss Jhoot Main Bhi Ek Sach Hai, Kay……………..!!!!!!!!!!!!!!, Mujhey Tum Say “MUHABBAT“ Hai

abaad raheNge veeraane, shaadaab raheNgi zanjeereN

abaad raheNge veeraane, shaadaab raheNgi zanjeereN jab tak deewaane zindaah hai.n, phuuleNgi phaleNgi zanjeereN aazaadi kaa darwaazaa bhii Khud hi kholeNgi zanzeeren tukRe tukRe ho jaayeNgi jab hadd se baRheNgi zanzeereN jab sabke lab sil jaayeNge, haathoN se kalam chhin jaayeNge baatil se lohaa lene kaa, ailaan kareiNgi zanjeereN andhoN behroN ki nagrii me.n yuuN kaun tawajjoh kartaa hai maahaul sunegaa, dekhegaa, jis waqt bajeNgi zanjeereN jo zanjeeron se baahar haiN, aazaad unheN bhi mat samjho jab haath kaTenge zaalim ke, us waqt kaTengii zanzeereN ye taur bhi haiN sayyaadi ke, ye dhang bhi haiN jallaadi ke Gar aisaa hi maahul rahaa,phaileiNgi badheiNgi zanjeereN majbooroN ko tarsaayengi, yuuN aur hameN taRpaayeNgi zulfoN ki yaad dilaayeiNgi, jab lehraayeNgi zanjeereN zanjeereN to haT jayeNgi, haaN, inke nishaaN rah jayeNge meraa kyaa hai, zaalim, tujhko badnaam kareNgi zanjeereN le, de k Hafeez in se thii.n, ummiid-e-wafaa deewaanoN ko kyaa hogaa jab deewaanoN se

Poochnay Walay Tujhey Kaisay Bataaein Akhir

Poochnay Walay Tujhey Kaisay Bataaein Akhir Dukh Ibarat To Nahi Jo Tujhey Likh Ker Bhaijein Ye Kahani Bhi Nahi Hai K Sunaein Tujh Ko Na Koi Baat Hi Aisee K Bataein Tujh Ko Zakham Gar Ho To Teray Naakhun K Hawalay Ker Dein Aaina Bhi To Nahi K Dikhaein Tujh Ko Tu Ne Poocha Hai Magar Kaisay Bataein Tujh Ko Ye Koi Raaz Nahi Jis Ko Chupaen To Wo Raaz Kabhi Chehray Kabhi Aankhon Se Chalak Jata Hai Jaisay Aanchal Ko Sambhalay Koi Aur Teiz Hawa Jab Bhi Chalti Hai To Shaano Se Dhalak Jata Hai Ab Tujhey Kaisay Bataein K Humein Kia Dukh Hai Jism Mai Reengti Rehti Hai Musafat Ki Thakan Phir Bhi Kaandhon Pe Uthayae Huwe Halat Ka Bojh Apnay Qadmon Se Hatatay Huwe Saya Apna Jis Ko Bhi Dekhiye Chup Chap Chala Jata Hai Kabhi Khud Se Kabhi Raston Se Ulajhta Hai Magar Janay Wala Kisi Awaz Pe Rukta Hi Nahi Dhoondna Hai Naya Peraya-E-Izhar Humein Istiaron Ki Zaban Koi Samajhta Hi Nahi Dil Grifta Hain Talismat-E-Gham-E-Hasti Se Saans Lenay Se Fusoon Kariy-E-Jaan Tootti Hai Ik Taghayyur Pas-E-Her Shay Hai M

Usay Poojne Ki Hai Aarzu

Usay Poojne Ki Hai Aarzu Jise Chahna B Muhaal Hai Wo Meri Duaon Mein Bas Gya Jise Mangna B Muhaal Hai Teri Baat Krti Hai Khamoshi Teri Raah Takti Hai Raah B Meri Zindgi Ka Tu Khwab Hai Jise Bhoolna B Muhaal Hai Kbi Weham, Kbi Waswasy Kbi Khwab Aur Kbhi Ratjage Meri Neend Hony Lagi Saza Mera Jagna B Muhaal Hai.

*”KAHIN TUM”*

*”KAHIN TUM”* *”BHI NAZAR AAO”* Subha se Sham tak Hum ko, Bohat se Log milte hain, Koi Andaz Tum jaisa, Koi Libas Tum jaisa, Nigahon se Guzrate hain Mgr, Tum hi nahi milte Ye wohi Raaste hain, Par In’hi Raaston mein Jane Jaan Bohat Be-chain Phirte hain, Bare Be-taab rehte hain, Dua ko Hath uthte hain, Dua mein ye b kehte hain, Lagi hai Bheer Logon ki, Mgr is Bheer mein Jana, Kabi Tum b Nazar Aao, *”KAHIN TUM”* *”BHI NAZAR AAO”*

Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila

Zahanaton Ko Kahan Karb Se Farar Mila Jise Nigaah Milii Usako Intazaar Mila Vo Koii Raah Kaa Patthar Ho Yaa Hasiin Manzar Jahan Se Raastaa Thaharaa Vahiin Mazaar Mila Koii Pukaar Rahaa Thaa Khulii Fizaaon Se Nazar Uthaaii To Chaaro Taraf Hisaar Milaa Har Ek Saans Na Jaane Thii Justajuu Kis Kii Har Ek Dayaar Musaafir Ko Bedayaar Milaa Ye Shahar Hai Ki Numaish Lagii Huii Hai Koii Jo Aadamii Bhii Milaa Banake Ishtahar Milaa

Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe

Tere Firak Ke Lamhe Shumar Kerte Howe Bekhar Gaye Tera Intazar Kerte Howe To Main Bhi Khush Hoon Koi Us Say Jake Keh Day Agar Woh Khush Hai Mujhe Bekarar Kerte Howe Main Muskarata Howa Ainay Main Ubher Aonga Woh Roo Paregi Achanak Singhar Kerte Howe Tumhe Khaber Hi Nahi Koi Toot Gaya Mohabbaton Ko Bohat Paidar Kerte Howe Woh Keh Rahi Thi Samander Nahi Hain Ankhain Hain Main Un Main Doob Gaya Aitebar Kerte Howe Mujhe Khaber Thi Ke Abh Loot Ker Na Aooga Tujh Ko Yaad Kiya Der Paar Kerte Howe

Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai

Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye Gumaan Baaqi Hai Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai Muddat Hoee Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin Aaj Tak Merey Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai Wo Saayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahee Abhi To Merey Sir Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb He Rakhna Biphri Hoee Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai Tumharey He Ashkon Ne Lab Si Diye Warna Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut Daastan Baaqi Hai Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhain Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai

Tu Paas Bhi Ho Tu Dil Beqaraar Apna Hai K Ham Ko Tera Nahi Intezar Aapna Hai Woh Dur Ho Tu Baja Terk-E-Dosti Ka Khiyal Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai Zamanay Bher K Dukhon Ko Laga Liya Dil Se Is Aasray Pe K Aik Ghamgusaar Apna Hai Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai

aa ki meri jan mai qarar nahi hai

aa ki meri jan mai qarar nahi hai aa ki meri jan mai qarar nahi hai taqat-e-bedad-e-intazar nahi hai dete hain jannat hayat-e-dahar ke badle nashsha baandaza-e-khumar nahi hai giriya nikale hai teri bazm se mujh ko haye! ki rone pe ikhtiyar nahi hai hum se abas hai guman-e-ranjish-e-khatir khak mai ushshaq ke gubar nahi hai dil se utha lutf-e-jalva hai maani gair-e-gul aaina-e-bahar nahi hai qatl ka mere kiya hai ahad to bare vaye! agar ahad ustavar nahi hai tu ne qasam maikashi ke khai hai ‘ghalib’ teri qasam ka kuch aitabar nahi hai

aadatan tum ne kar diye vade

aadatan tum ne kar diye vade aadatan hum ne aitabar kiya teri rahon mein baraha ruk kar hum ne apana hi intazar kiya ab na mangenge zindagi ya rab ye gunah hum ne ek bar kiya

aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise

aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise hasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein guladasta-e-nigah suveda kahen jise phunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khuda afasun-e-intazar tamanna kahen jise sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye wo ek musht-e-khak ke sahara kahen jise hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise “ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe aisa bhi koi hai ke sab acha kahen jise

aj ashkon ka tar tut gaya

aj ashkon ka tar tut gaya rishta-e-intazar tut gaya yun wo thukara ke chal diye goya ik khilauna tha pyar tut gaya roye rah-rah kar hichkiyan lekar saz-e-gam bar bar tut gaya aap ke berukhi ka shikava kya dil tha napaidar tut gaya dekh li dil ne besabati-e-gul phir tilism-e-bahar tut gaya ‘saif’ kya char din ke ranjish se itani muddat ka pyar tut gaya koi to bat chide aj bahut jee hai udas kam se kam rahamat-e-agyar ke baten hi sahi ab to tanhai ko ye karb na hoga bardasht kuch nahi to dar-o-divar ke baten hi sahi ye bhi kya kam hai unhen qurbat-e-gul to hai nasib aj gul ke na sahi khar ke baten hi sahi ye to tai hai ki jiye jayenge har hal mein hum un ke lab par rasan-o-dar ke baten hi sahi

aj tum se bichad raha hun

aj tum se bichad raha hun aj kehta hun phir milunga tum se tum mera intazar karati raho aj ka aitabar karati raho log kahate hain waqt chalata hai aur insan bhi badalata hai kash ruk jaye waqt aj ke rat aur badle na koi aj ke bad waqt badle ye dil na badalega tum se rishta kabhi na tutega tum hi khushbu ho meri sanson ke tum hi manzil ho mere sapanon ke log bonte hain pyar ke sapane aur sapane bikhar bhi jate hain ek ehasas hi to hai ye wafa aur ehasas mar bhi jate hain

jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai

jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai aankhon se ashk hai ravan jan bhi beqarar hai hone ko fasl-e-gul bhi hai davat-e-aish hai magar apni bahar ka mujhe aj bhi intazar hai sare sahare ishq ke toot chuke hain hijr mein ek tumhari yaad bas dard ke gam-gusar hai ahad-e-vafa ka aap ke lutf-o-karam ka aap ke aur kisi ko ho na ho mujh ko aitabar hai lut gai gham ke aabaru lut chuki dil ke aarzoo ‘yahya’ nigah-e-lutf ka phir bhi ummidvar hai

Sata sata ke hamen ashkbar karati hai

Sata sata ke hamen ashkbar karati hai tumhari yaad bahut beqarar karati hai wo din jo sath guzri the pyar ke hum ne talash un ko nazar bar bar karati hai gila nahi jo nasibon ne kar diya hai juda teri judai bhi ab hum ko pyar karati hai kinare baith ke jis ke kiye the qaul-o-qarar nadi wo ab bhi tera intazar karati hai

Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koi

Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koi hai ashk aankhon mein aur muskura rha hai koi nazar nazar mein tajalli dikha raha hai koi nafaz nafaz pe mujhe yaad aa raha hai koi takhayulat ke dhoke hain sab shab-e-vada na aa raha hai koi aur na ja raha hai koi ye husn-o-ishq ke tasvir ke hain do manzar ki ro raha hai koi muskura raha hai koi “qadeer” hashr mein pahunche to hum ne kya dekha kisi ke hath se daman chuda raha hai koi

Shehre-Fana Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon

Shehre-Fana Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon Ek Bujhta Sa Diya Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon Tu Rafaqat K Liye Or Kisi Ko Chun Le Me To Khud Aabla Pa Hon Tere Kis Kaam Ka Hon Tujh Ko Darkar Hain Phoolo K Mehkate Saaye Main To Sehra Me Khara Hon Tere Kis Kaam Ka Hon A Paristare Gule-Tar Tera Rasta Takte Takte Shaakh Pe Sokh Gaya Hon Tere Kis Kaam Ka Hon Tu B Auron Ki Tarah Mujh Se Kinara Kar Le Sari Duniya Se Bura Hon Tere Kis Kam Ka Hon..!!

Badalate waqt ka ik silsila sa lagata hai

Badalate waqt ka ik silsila sa lagata hai ke jab bhi dekho use dusara-sa lagata hai tumhara husn kisi aadmi ka husn nahi kisi buzurg ke sachi dua sa lagata hai teri nigah ko tamiz rang-o-nur kahan mujhe to khun bhi rang-e-hina sa lagata hai damag-o-dil hon agar mutmain to chaon hai dhup thapeda lu ka bhi thandi hawa sa lagata hai wo chat pe aa gaya betab ho ke aakhir khuda bhi aj sharik-e-dua sa lagata hai tumhara hath jo aaya hai hath mai mere ab aitabar ka mausam hara-sa lagata hai nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare se tamam shahar ka “manzar” khula sa lagata hai

Bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai

Bargashta-e-yazdan se kuch bhool hui hai bhatake hue insan se kuch bhool hui hai ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein phoolon ke nigehban se kuch bhool hui hai jis ahad mein lut jaye faqiron ke kamai us ahad ke sultan se kuch bhool hui hai hansate hain meri surat-e-maftun pe shagufe mere dil-e-nadan se kuch bhool hui hai huron ke talab aur mai-o-sagar se hai nafrat zahid tere irfan se kuch bhool hui hai

Dipak rag hai chahat apni kahe sunayen tumhen

Dipak rag hai chahat apni kahe sunayen tumhen hum to sulagte hi rehte hain kyon sulagayen tumhen tark-e-muhabbat, tark-e-tamanna kar chukane ke bad hum pe ye mushkil aan padi hai kaise bulayen tumhen sannata jab tanhai ke zeher mein bujhata hai wo ghadiyan kyon kar katati hain kaise batayen tumhen jin baton ne pyar tumhara nafrat mein badala dar lagata hai wo baten bhi bhool na jayen tumhen

Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur

Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur mit jayega sar, gar tera paththar na ghisega hun dar pe tere nasiyafarsa koi din aur aaye ho kal aur aj hi kahate ho ki jaun mana ki hamesha nahi acha koi din aur jate hue kahate ho qayamat ko milenge kya khub! qayamat ka hai goya koi din aur han ae falak-e-pir, jawan tha abhi aarif kya tera bigadata jo na marata koi din aur tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar ke phir kyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur tum kon se aise the khare dad-o-sitad ke karta malakulmaut taqaza koi din aur mujhase tumhen nafrat sahi, nayyar se ladai bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur guzri na baharhal ya muddat khushi-nakhush karana tha javanmarg! guzra koi din aur nadan ho jo kahate ho ki kyon jite ho ‘ghalib’ qismat mein hai marane ke tamanna koi din aur

badbaan kab kholta hun ,paar kab jata hun main

badbaan kab kholta hun ,paar kab jata hun main roz raste ki tara darya se laut aata hun main subha dam may kholta hun rassi apne paun ki din dhalley khud ko kahi se haank lata hun main apni janab se bhi daita hun kachokey jism ko uski janib se bhi apne zakhm sehlata hun main aik bache ki tara khud ko bitha k saamne khoob khud ko kosta hun khoob samjhata hun main khushk patton ki tara hay quat-e-goyai bhi baat koi bhi nhi aur bolta jata hun main ye wohi tanhayi jis se behal jata tha dil ye wohi tanhayi hay ab jis se ghabrata hun main ishaq may manya hay ghalib ki tarafdaari muje raub jab chalta nhi paaun par jata hun main maire haath aate hain tabish dusre mousam k phool Aik mousam may to tehni tak pohanch pata hun main  

Hasne nhi daita kabhi rone nhi daita

Hasne nhi daita kabhi rone nhi daita ye dil to koi kam bhi hone nhi daita tum maang rhe ho maire dil se meri khwahish bacha to kabhi apne khilone nhi daita main aap uthata hun shab-o-roz ki zillat ye Bojh kisi aur ko dhone nhi daita wo kon hay us se to main waqif bhi nhi hun jo mujh ko kisi aur ka hone nhi daita!

sabz gumbad ki jhalak deeda-e-tar se aage

sabz gumbad ki jhalak deeda-e-tar se aage daikh sakti hay nazar had-e-nazar se aage jis jaga shart hay bainayi k bal chalne ki wo safar aur hay qadmon k safar se aage wo na chahain to kahan naat likhi ja sakti hay mudah-e-sarkar(PBUH) ki manzil hay hunar se aage sahib-e-ishaq isse ishq ki dolat de dey ik faqeer aur bhi hay kasa-e-sar se aage Tabish is dar pe sab israr-e-azl khulte hain meri hayrat ki rasayi hay khabar se aage!

ye qissa hai jab kaa keh Aatish javaaN thaa

ye qissa hai jab kaa keh Aatish javaaN thaa shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaaN thaa baGal meN sanam thaa, Khudaa meherbaaN thaa voh shab thii keh thii roshnii jismeN din kii zamiiN par se ek nuur taa aasmaaN thaa nikaale the do chaaNd usne muqaabil voh shab sub’h-e-jannat ka jis pe gumaaN thaa uruusii kii shab kii halaavat thii haasil faraHnaak thii ruuH, dil shaadmaaN thaa  

Kabhi Yad Aee To Poochna,

Kabhi Yad Aee To Poochna, Zara Apni Khalwat-e-Sham Se, Kisay Ishq tha Tere Zaat Se Kisay Pyar Tha Tere Nam Se, Zara Yaad Karo K woh Kon Tha, Jo Kabhi Tujhe bhi Aziz Tha, Wo Jo Je utha Tere Nam Se, Wo Jo Mar Mita Tere Nam Pe, Hamain Berukhi Ka Nahi Gila, K Yahi Wafaon Ka Hai Sila, Magar Aesa Jurm Tha Kon Sa, Gae Ham Dua-o-Salam Se, Na Kabhi Visaal Ke Chah Ki, Na Bhi Firaaq mai Ahh Ke K Mera Tareka-e-Bandagi Hai Juda Tareeka-e-Amm Se!!!...

shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaaN thaa

shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaaN thaa baGal meN sanam thaa, Khudaa meherbaaN thaa voh shab thii keh thii roshnii jismeN din kii zamiiN par se ek nuur taa aasmaaN thaa nikaale the do chaaNd usne muqaabil voh shab sub’h-e-jannat ka jis pe gumaaN thaa uruusii kii shab kii halaavat thii haasil faraHnaak thii ruuH, dil shaadmaaN thaa bayaaN khwaab kii tarah jo kar rahaa hai ye qissa hai jab kaa keh Aatish javaaN thaa

Tabeeyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai

Tabeeyat in dinon begaana-e-gham hoti jaati hai Meray hissay ki goya har khushi kam hoti jaati hai Wahi hai shahid-o-saaqi, magar dil bujhta jaata hai Wahi hai shamma lekin roshni kam hoti jaati hai Qayaamat kya yeh ai husn-e-do aalam hoti jaati hai Ke mehfil to wahi hai, dil kashi kam hoti jaati hai Wahi maikhaana-o-sehba, wahi saaGHar wahi seesha Magar aavaz-e-noshanosh maddham hoti jaati hai Wahi hai zindagi lekin 'Jigar' yeh haal hai apna Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai

duniyaa ke sitam yaad na apnee hee vafaa yaad

duniyaa ke sitam yaad na apnee hee wafaa yaad ab mujhako nahin kuchh bhee muhabbat ke sivaa yaad chhorhaa thaa jise pahale-pahal teree nazar ne ab tak hai vo ik naghm-e-be-saaz-o-sadaa yaad jab koee hanseen hota hai sargarm-e-navaazish uss waqt vo kuchh aour bhee aate hain sivaa yaad kyaa janiye kyaa ho gayaa arbaab-e-junoon ko marne kee adaa yaad na jeene kee adaa yaad muddhat huee ik hadas-e-ishq ko lekin ab tak hai tere dil ke dharhakne kee sadaayaad haan-haan tujhe kyaa kaam,mere shiddhate- gham se haan-haan nahin,mujhko tere daaman kee hawaa yaad main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hee chukaa thaa kyon aa gayi aise mein teree larzish-e-paa yaad kyaa lutf ki main apnaa pataa aap bataauon keeje koee bhoolee huee khaas apnee khataa yaad

ye sabzah’mand-e-chaman hai jo lah’lahaa na sake

ye sabzah’mand-e-chaman hai jo lah’lahaa na sake wo gul hai zakhm-e-baharaan jo muskuraa na sake ye aadmee hai vo parvaana, samm-e-daanistaa jo raushnee mein rahe, raushnee ko paa na sake ye hai khuloos-e-muhabbat ke haadisaat-e-jahaan mujhe to kyaa, mere naqsh-e-qadam mitaa na sake na jaane aaKhir in aansoon pe kyaa guzree jo dil se aankh tak aaye, magar bahaa na sake kareinge mar ke baqaa-e-dawaam kyaa haasil jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake

haan kis ko hai mayassar ye kaam kar guzaranaa

haan kis ko hai mayassar ye kaam kar guzaranaa ik baankpan se jeenaa ik baankpan se maranaa dariyaa kee zindagee par sadqe hazaar jaane mujh ko naheen gavaaraa saahil kee maut maranaa saahil ke lab se poochho dariyaa ke dil se poochho ik mauj-e-tah-nasheen kaa muddat ke baad ubharanaa jo zeest ko na samajhe jo maut ko na jaane jeenaa unhieen kaa jeenaa maranaa unheen kaa maranaa

Ishq kee dastaan hai pyaare,

Ishq kee dastaan hai pyaare, aapnee-apnee zubaan hai pyaare ham zamaane se intqaam to lein, ik haseen darmiyaan hain pyaare, too nahin mein hoon, mein nahi too hai, aab kuchh aisaa gumaan hai pyaare, rakh kadam phoonk-phoonk kar nadaan, zarre-zarre mein jaan hai pyaare.

Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum

Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum Abhi Toot Raha Hai Dushman e Islaam Ka Qeher Abhi Uthti Nhi Dil Ke Samandar Main Baghawat Ki Leher Abhi Hans Hans Ker Dye Ja Rahe Hain Jaam e Zeher Abhi Barood Ki Khushbo Main Hai Lipti Yahan Har Shaam O Seher Abhi Sabar Hai Darmiyan Magar Sharmindah Hain Hum Ke Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum Magar Sabar Yeh Toote Ga To Qayamat Hogi Phir Zalim Tere Saath Zara Bhi Na Ria'yat Hogi Or Hoga Char Soo Bol Baala Haq Ka Or Baatil Ki Hamesha Ki Tarha Ruswayi Hogi Haan Tareekh Ke Duhrate Oraaq Dekhen Gay Hum Ke Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum Ay Arz e Watan Ke Ghaddaron Jab Elan e Baghawat Hum Karlenge Han Isi Watan Ki Baqa Ke Liye Khud Jaan Bhi Hazir Kar Denge Or Tere Sab Napak Azayim In Pairon Tale Kuchal Denge Marna To Muqaddar Hai Apna Chahen Jee Kar Mar Ya Mar Mar Ker Jee Phir Jaan Hatheeli Par Rakh Ker Koi Kaam Hi Acha Kar Lenge Be Maqsad Jeete Rehne Se Ba Maqsad Mar Jainge Hum Ke Abhi Soye Hoye

Tumhe Dekh Ker Ahen Kyun Bharen

Tumhe Dekh Ker Ahen Kyun Bharen  Din Raat Yeh Socha Kyun Karen Jis Shaks Ne Tujko Chaha Tha  Ab Uska Hawala Kyun Karen Jo Rasta Teri Gali Jata Hi Na Ho  Hum Us Raste Se Guzra Kyun Karen Jo Nazar Ki Baat Hi Na Samjh Sake  Usko Koi Ishara Kyun Karen Yeh Dil To Sada Ka Sarkish Hai  Phir Isko Samjhaya Kyun Karen Kya Teri Ana Hi Sab Kuch Hai?  Hamesha Hum Hi Manaya Kyun Karen Jo Chaha Woh Paya Na Kabhi  Phir Nayi Tamanna Kyun Karen Jo Saza Mili Woh Gunah Ki Mili  To Ankhen Apni Num Kyun Karen Jis Yad Se Dil Ko Dard Hi Mile  Us Yad Ko Duhraya Kyun Karen Ab Bas Kar Fahadd Or Had Main Reh  Itni Ghamgin Shairy Kyun Karee..

Chupa Le Apne Sare Gham Zamane Ko Dikhana Thik Nahi

Chupa Le Apne Sare Gham Zamane Ko Dikhana Thik Nahi  Is Qadar Ay Admi Tera Toot Jana Thik Nahi Jo Tere Liye Tha Tujhe Mila JO Nahi Hai Tera Woh Kyun Mile  Apne Nafs Ko Yun Bigarna Dil e Nadan Kuch Thik Nahi Jab Sukh Mila To Shukar Nahi Or Dukh Mila To Shikwa Gila  Apne Khuda Se Tere Rawabit Ay Musalman Thik Nahi Kisi Ko Matlab Nahi Kisi Se Hain Apni Khushiyon Ke Sabi Mutlashi  Per Kisi Ki Khushi Main Khush Na Hona Meri Nazar Main Thik Nahi Phalon Se Ladde Onche Darakht Rehte Hain Hamesha Jhuke Hoye  Khali Bartan Ki Tarha Tera Shor Machana Thik Nahi Qaroon Ka Khazana Bhi Dafn HOa Yousuf Ka Husn Bhi Manand Para  To Ay Saatt Saal Ke Aadmi Tera Yeh Akarna Thik Nahi Dil Main Liye Junon Agar Nikle Ho Manzil Ke Liye  Phir Faaslon Ko Napna Ay Mard e Javan Kuch Thik Nahi Ummed Na Koi Bandh Jai Intizar Ko Wajha Na Mil Jai  Bicharte Samay Ay Jaan e Jaan Tera Mur Ker Dekhna Thik Nahi Sanam Ke Age Kyun Jhuke Waqaar Apna Rakh Buland  Muhabbaton Ke Husol Main Yun GirGirana Thik Nahi Har Baat Pe Keh

Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga

Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga Nazar Main Chehra Ussi Ka Hoga Milan Ki Hasrat To Hogi Tumko Milan Ka Lekin Yaqin Na Hoga Betab Guzra Har Lamha Hoga Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga Phir Ek Hi Pal Main Tum Sari Khushiyan Ussi Se Mansoob Kar Chuko Gay Tumhare Jazbaton Se Reh Ker Anjan Woh Apni Hi Dunya Main Masrof Hoga Chalak Kar Daman Pe Jo Gire Ga Wohi Muhabbat Ka Pehla Anso Hoga Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga To Raaston Pe Yaqin Na Hoga Tum Usko Pane Ki Justujo Main Raahen Badal Kar Chala Karo Gay Ke IsKe Akhir Main Woh Mile Ga Magar Yeh Tumhara Wehem Hi Hoga Tab Hi Khuda Ke Hone Ka Yaqin Hoga Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga Phir Chaho Gay Tum Usse Bhool Jana Kabhi Bhi Usko Nazar Na Aana Bujha Ke Shamma e Muhabbat Tum Chaho Gay Boht Door Jana Phir Saamne Hoga Woh Or Tumko Apne Hi Waade Se Mukarna Hoga Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga Magar Khudaya Woh Waqt Na Aye Tum Jis Ko Chaho Woh Mil Na Paye Kisi Ki Yaaden Tumhe Rulayen Meri Dua Hai Meri Dua Hai Tumhare Lab Per Jo Naam Aaye Wohi

Ay mere Hum'Dum aao hum phir us dais chalen

Ay mere Hum'Dum aao hum phir us dais chalen jahan Mehar ki khushbu me nahaye ulfat k Phool khilen Eiden aati hain aur chup chap guzr jati hain  ab k humrah Tum b aao to Hum Eid karen in rangeen lamhon ko pheka na kar den ye aadawaten  Aao ab bhool k sb shikwe Hum b Eid milen kisi ki ankh me na udasiyon k jugnu jhilmilayen ab  in weran lamhon me khushiyon k rang bharen

Kal Shab Apne Gamon Ka Hisaab Kar Raha Tha Maen

Kal Shab Apne Gamon Ka Hisaab Kar Raha Tha Maen  Hale-dil Aur Bhi Kuch Kharaab Kar Raha Tha Maen  Unke Jafa Ka Khyaal Kabhi Apni Vafaon Ka Silaa  Khud Hi Sawaal Aur Khud Jawaab Kar Raha Tha Maen  Tanha Yaadon Ka Na Chule Kahi Gamon Ke Majmey  Teri Yaadon Ko Badalkar Khwaab Kar Raha Tha Maen  Saher Ke Muntazir Khile Armaan Navaakife Anjaam  Har Dali Se Alag "fer" Gulaab Kar Raha Tha Maen

is Dil Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,

is Dil Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,  Is Ghar Kaa Kya Kare Abb,  Neendoo Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,  Khawaboo Kaa Kya Kare Abb,  Sawaloon Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,  Jawaabon Kaa Kya Kare Abb,  Har Dhadkan Main Tum Ghar Kar Gaye Hoo,  Auro Ka Kya Kare Abb

Meri khooshi meri zindagi mukamal ho jay

Meri khooshi meri zindagi mukamal ho jay Jo ik “TU” milay meri bandagi mukamal ho jay

neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai

neend se aankh khuli hai abhi dekha kya hai      dekh lena abhi kuch der meiN duniya kya hai      baandh rakha hai kisee sonch ne ghar say humko      Varna apna dar-o-deewar se rishta kya hai      ret ki eenT ki pathar ki hooN ya miTTi ki      kisi deewar ke saye ka barosa kya hai      apni daanist me samjhay koi duniya `Shahid'      warna hathoN meiN lakiroN ke ilaawa kya hai

apni aankho ke samundar meiN utar jaane de

apni aankho ke samundar meiN utar jaane de      tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de      ay nayey dosth maiN samjhoonga tujhe bhee apna      pehle maazi ka koi zakhm to bhar jaane de      aag duniya ki lagayee hui bhuj jayeygee      koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de      zakhm kitne teri chaahat se mile haiN mujko      soNchtaa hoon ki kahoon tujhse magar jaane de

Dasht mein ik telism e aab kay saath

Dasht mein ik telism e aab kay saath  Door takk hamm gaey sarab kay saath Phir khizan aaei aur khizan kay baad  Khaar khilnay lagay gulaab kay saath Raat bharr toot'ti huwi neendein Jurr gaein sehr e maahtaab kay saath Hamm sada ki tarah bujhay huway thay  Woh tha pehli si aab o taab kay saath Chhoti umron ki pehli pehli baat  Kuchh takalluf say,kuchh hijab kay saath Aur phir yeh nigaah e kheera bhi  Doob jaey gi aaftaab kay saath Raat ki tashtari mein rakhi hain  Meri aankhein kisi kay khwab kay saath Uss gali mein na kesay koei jaey  Shaam ko iss dill e kharab kay saath Yeh faqat rasm hi nahien ay doast!  Dill bhi shamil hai intasab kay saath

maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN

 maana ke musht-e-khak se badh kar nahin hoon maiN      lekin hawa ke rehmo-karam par nahiN hoon maiN      insaan hooN dhaDkte huye dil par haath rakh      yoon doob kar na dekh samandar nahiN hoon maiN      chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki      aaiynaa haath meiN hai sikandar nahiN hoon maiN      'ghalib' tere zameen meiN likhi to hai ghazal      tere kad-e-sukhan ke baraabar nahiN hoon maiN

aisa lagta hai zindagi tum ho

aisa lagta hai zindagi tum ho      ajnabee kaise ajnabee tum ho      ab koi aarzoo nahin baakee      justjoo meri aakhri tum ho      main zameen par ghana andhera hoon      aasmaanoN ki chandni tum ho        dostoN se wafa ki ummeedeN      kis zamaane ke aadmi tum ho

mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle

mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle      use samJhne ka koi to silsila nikle      kitaab-e-maazi ke panne ulaT ke dekh zara      na jaane kaun sa panna muDa hua nikle      jo dekhne meiN bahut hee karib lagtaa hai      usi ke baare meiN socho to faasila nikle

aap ko bhool jaayeN hum itnin to bewafa nahin

 aap ko bhool jaayeN hum itnin to bewafa nahin      aapse kya gila kareN aapese koi gila nahin      sisha-e-dil ko toDna unka to ek khel hai      humse hi bhool ho gayee unko koi khata nahin      kaash wo apne gham muJhe de deN to kuch sukooN mile      wo kitna bad-naseeb hain gam hee jise mila nahin      juRm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko choD doon      kehte haiN is gunaaH kee hoti koi saJa nahiN

sabz gumbad ki jhalak deeda-e-tar se aage

sabz gumbad ki jhalak deeda-e-tar se aage daikh sakti hay nazar had-e-nazar se aage jis jaga shart hay bainayi k bal chalne ki wo safar aur hay qadmon k safar se aage wo na chahain to kahan naat likhi ja sakti hay mudah-e-sarkar(PBUH) ki manzil hay hunar se aage sahib-e-ishaq isse ishq ki dolat de dey ik faqeer aur bhi hay kasa-e-sar se aage Tabish is dar pe sab israr-e-azl khulte hain meri hayrat ki rasayi hay khabar se aage!

shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta

shola ho bhaDakne ki guzaarish nahin karta      sach muuh se nikal jaata hai koshish nahin karta      girti huyee diwaar ka humdard hooN lekin      chaDhte huye sooraj ki parasthish nahin karta      maathe ke paseene ki mahak aaye na jaisi      wo khoon mere jisM meiN gardish nahin karta          humdard ye ehbaab se darta hoon 'Muzaffar'      main zakhm to rakhta hoon numaish nahin karta

safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo

safar me dhoop to hogi, jo chal sako to chalo      sabhi haiN bheeD meiN tum bhee nikal sako to chalo      kisi ke waaste raaheN kahan badalti hai      tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo      yahan kisi ko koi raasta nahin deta      muJhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo      yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummeedeN      inhi khilonoN se tum bhee bahal sako to chalo

huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon

huzoor aapka bhi ahtraam karta chaloon      idhar say guzra tha soncha salaam karta chaloon      nikha-o-dil ki yahi aakhri tamanna hai      tumhari zulf kay saayey mein shaam karta chaloon      unhay yeh zid ki mujhay dekh kar kisi ko na dekh      mera yeh shauk ke sabsay qalaam karta chaloon      yeh mere khaboN ki duniya nahin sahi lekin      ab aa gaya hooN to do din qyaam karta chaloon

manzil na de charaag na de hauslaa to de

manzil na de charaag na de hauslaa to de      tinke ka hi sahee tu magar aasraa to de      maiNe ye kab kaha ke mere haq meiN ho jawaab      lekin khamosh kyooN hai tu koi faislaa to de      barsoN maiN tere naam pe khaata raha fareb      mere khuda kahaN hai tu apna pata to de      beshaq mere naseeb pe rakh apnaa ikhtiyaar      lekin mere naseeb meiN kya hai bata to de

aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai

aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai      tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai      gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai      tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai      waqt ke saath haalaat badal jaate haiN      ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai      ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN      aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai

jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha

jinko duniyaN kee nigaaHoN se chupaaye rakha      jinko ik umR kaleje se lagaaye rakha      din jinko, jinHe eemaan banaaye rakha      tune duniyaN kee nigaaHoN se jo bachkar likhe      salha-saal mere naam baraabar likhe      kabhi din meiN to kabhi raat meiN uThkar likhe      pyaar meiN dooBe huye khat maiN jalaata kaise      tere haathoN ke likhe khat maiN jalaata kaise      tere khat aaj maiN ganga meiN baha aaya hooN      aag jalte huye paaNi meiN laga aaya hooN.

kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH

 kabhi to khul ke baras ab ke meherbaaN ki taraH      mera wazood hai jalte huye makaN kee taraH      main ik khwaab sahee aapki amaanat hooN      muJhe sambhaaL ke rakhiyegaa jism-o-jaaN ki taraH      kabhi to soch ke wo saKsh kis kadar tha buland      jo bichh gaya tere kadmoN meiN aasmaaN ki taraH      bula rahaa hai muJhe fir kisi badan ka basanth      guzar na jaaye ye ruth bhi kahiN khizaaN ki taraH

socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN

socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN      maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN      dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe      meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN      jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar      bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN      ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq      aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN  

kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah

kabhi guncha kabhi shola kabhi shabnam kee tarah      log milte haiN badalte huye mausam kee tarah      mere mehboob mere pyaar ko ilzaam na de      hiJr meiN eed manaayee hai moharrum ki tarah      maine khushboo kee tarah tuJhko kiya hai mehsoos      dil ne chheDa hai teri yaad ko shabnam ki tarah           kaise ham-dard ho tum kaisee masihaayee hai      dil pe nashtar bhi lagaate ho to marham ki tarah

Ye to nahiN ke gam nahiN

Ye to nahiN ke gam nahiN      haaN meri aaNkh nam nahiN      tum bhi to tum nahiN ho aaj      hum bhi to aaj hum nahiN      ab na khushi kee hai khushi      gam ka bhi ab to gam nahiN      maut agar che-maut hai      maut se zeest kam nahiN  

ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de

ae khuda ret ke sehra ko samandar kar de      ya chhalakti aanKhoN ko bhi patthar kar de      tuJhko dekha nahiN mehsoos kiya hai maine      aa kisi din mere ehsaas ka paikar kar de      aur kuch bhi muJhe darkaar nahiN hai lekin      meri chaadar mere pairoN ke baraabar kar de

bahut dinoN kee baat hai

 bahut dinoN kee baat hai      fizaa ko yaad bhi nahiN      ye baat aaj kee nahiN      bahut dinoN kee baat hai      shabaab par bahaar thee      fizaa bhi khush-gawaar thee      naa jaane kyoon machal pada      maiN apne ghar se chal pada      kisi ne muJhko rok'kar      badi adaa se Tok'kar      kaha tha lauT aae'iye      meri kasam naa jaai'iye      par muJhe khaBar na thee      maahOl par nazar na thee      naa jaane kyoon machal pada      maiN apne ghar se chal pada      maiN shehaR se phir aa gaya      khayal thaa ke paa gaya      us'e jo muJhse door thee      magar meri zaroor thee      aur ik hasiN shaaM ko      maiN chal paDa salaam ko      gali ka rang dekh'kar      nayee tarang dekh'kar      muJhe baDi khushi huyee      maiN kuch isi khushee meiN tha      kisi ne Jhaank'kar kaha      paraaye ghar se jaai'iye      meri kasma na aai'iye      wahi haseeN shaam hai      bahaar jiska naam hai      chala hooN ghar ko choDkar      na jaa

ik nazar dekh ke hum jaan gaye

 ik nazar dekh ke hum jaan gaye      aap kya cheez haiN pehchaan gaye   bhir  bhi zinda hooN ajab baat hai ye      kab se ho leke meri jaan gaye      tum jo aaye to bhari mehfil meiN      dil gaye haath se eemaaN gaye      jis jagah par na farishte pahuNche      us jagah aaj ke insaan gaye  

jhumko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe

 jhumko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe      pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe      chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega      is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe      roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee      kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe      kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye      roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe

abse hum tabah ho gaye

abse hum tabah ho gaye      tum jahan-panah ho gaye      husn par nikhaar aa gaya      aayine se aah ho gaye      aandhiyoN ki kuch khata nahiN      hum hi dard-e-raah ho gaye      dushmanoN ko chitthiyaN likho      dosth khair-baah ho gaye

mere jaise ban jaOge jab ishq tumhe ho jaayega

 mere jaise ban jaOge jab ishq tumhe ho jaayega      diwaroN se takraaOge jab ishq tumhe ho jaayega      har baat gawaara kar loge mannat bhi ukara loge      tabeejeN bhi bandhwaaOge jab ishq tumhe ho jaayega      tanhaayee ke jhoole jhoolOge har baat puraani bhoolOge      aayine se ghabraOge jab ishq tumhe ho jaayega      jab sooraj bhi kho jaayega aur chaand kahin so jaayega      tum bhi ghar der se aaOge jab ishq tumhe ho jaayega      bechaiNi jab baDh jaayegi aur yaad kisi ki aayegi      tum meri ghazaleN gaOge jab ishq tumhe ho jaayega

paseene paseene huye jaa rahe ho

 paseene paseene huye jaa rahe ho      ye bolo kahaN se chale aa rahe ho      hameN sabR karne ko keh to rahe ho      magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho      ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai      baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho      ye aaina hai ye to sach hi kahega      kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho  

tumne sooli pe latakte jise dekha hoga

tumne sooli pe latakte jise dekha hoga      waqt aayega wahi shaksh maseeha hoga      khwaab dekha thaa ke sehra meiN basera hoga      kyaa khabar thi ke yahi khwaab to sachcha hoga      maiN fizaaoN meiN bikhar jaaoonga khushboo bankar      rang hoga na badan hoga na chehra hoga

jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la

jawan hai raat sakiya sharaab la sharaab la      zara si pyaas to buJha sharaab la sharaab la      tere shabab par sada karam rahe bahaar ka      tuJhe lage meri dua sharaab la sharaab la      yahaN koi na jee saka na jee sakega hosh meiN      mitaa de naam hosh ka sharaab la sharaab la      tera baDa hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja      na zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la

Dhal gaya aaftaaB ae saaqi

Dhal gaya aaftaaB ae saaqi      la pila de sharaab ae saaqi      ya suraahi laga mere mooh se      ya ulaT de naqaab ae saaqi      maikada choD kar kahaN jaaooN      hai zamana kharaaB ae saaqi      jaam bhaR de gunaahgaarOn ke      ye bhi hai ik sawaab ae saaqi      aaj peene de aur peene de      kal karenge hisaab ae saaqi  

dil ke deewaroN dar pe kya dekha

dil ke deewaroN dar pe kya dekha      bas tera naam hi likha dekha      teri aankhoN meiN humne kya dekha      kabhi qaatil kabhi khuda dekha      apnee soorat lagi paryee si      jab kabhi humne aa'inah dekha      haaye andaaz tere ruKne ka      waqt ko bhi ruKa ruKa dekha      tere jaane meiN aur aane meiN      humne sadiyoN ka faasila dekha      phir na aaya khayaal zannat ka      jab tere ghar ka raasta dekha  

charaaG aaftaaB gum, baDi haseen raat thee

charaaG aaftaaB gum, baDi haseen raat thee      shabaaB ki naqaaB gum, baDi haseen raat thee         muJhe pila rahe the wo ke khud hi shamma buJh gayee      gilaas gum, sharaab gum, baDi haseen raat thee      likHa tha jis kitaab meiN ke ishq to haraam hai      huyee wohi kitaab gum, baDi haseen raat thee      laboN se laB jo mil gaye, laboN se laB hi sil gaye      sawaal gum, jawaab gum, baDi haseen raat thee

jis mod par kiye the hum intejaaR barsoN

jis mod par kiye the hum intejaaR barsoN      us'se lipaT ke roye, deewana-waar barsoN      tum gulsitaN se aaYe zikRe khizaaN hilaaye      humNe kafas meiN dekhi fasle bahaar barsoN      hoti rahee hai yuN to barsaat aasuOn kee      uTh'Te rahe hain phir bhi dil se gubaaR barsoN      wo sang-e-dil tha koi begaana-e-wafa tha      karte raheN hai jiska hum intezaar barsoN

us's mod se shuru kareN phir Ye zindagi

 us's mod se shuru kareN phir Ye zindagi      har shay jahaN haseen thee, hum tum the ajnabi      lekar chale the hum jiNhe jannat ke khwaab the      phooloN ke khwaab the wo mohabbat ke khwaab the      lekin kahan hai unmeiN wo pehle see dilkashi      rehte the hum haseeN khaYaaloN ki bheeD meiN      ulJhe huye haiN aaj sawaaloN ki bheeD meiN      aane lagi hai yaad wo fursat ki har ghaDi        shaayad ye waqt humse koi chaal chal gaya      rishta wafa ka aur hi rangoN meiN dhal gaya      ashkoN ki chandini se thee behtar wo dhooP hi  

zindagi tuJhko jiya hai koi afsOs nahiN

zindagi tuJhko jiya hai koi afsOs nahiN      zehar khud maiNe piya hai koi afsOs nahiN      maiNe muJrim ko bhi muJrim na kaha duniYa meiN      bas yahi zurm kiya hai koi afsOs nahiN      meri kismat meiN jo likkhe the unHi kaanToN se      dil ke zakhmoN ko seeya hai koi afsOs nahiN      ab gire sanG ke sishoN ki hoon baarisH 'faakir'      ab kaFan ODh liya hai koi afsOs nahiN

shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya

shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya      qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya      taa umR DhoonDta raha manzil maiN ishq ki      anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya         nashtar hai mere haath meiN kaaNdhoN pe maikada      lo maiN ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya      'Faakir' sanam maikade meiN na aata maiN lautkar      ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya

baad muddat unheN dekh kar yooN laga

baad muddat unheN dekh kar yooN laga      jaise betaab dil ko qaraar aa gaya      aarzoo ke gul muskuraane lage      jaise gulshan meiN bahaar aa gaya      tishna nazreN mili shokh nazroN se jab      maiN barasne lagi jaam bharne lage      saaqiyaa aaj teri zaroorat nahiN      bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya      raat sone lagi subah hone lagi      shamma buJhne lagi dil machalne lage      waqt ki roshni meiN nahaayee huyi      zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya

tamannaon ke bahlave meiN aksar aa hi jaate haiN

 tamannaon ke bahlave meiN aksar aa hi jaate haiN      kabhi hum chot khaate haIn kabhi hum muskuraate haiN         ham aksar dostoN ki bewafee seh to lete haiN      magar hum jaante haiN dil hamaare TooT jaate haiN      kisi ke saath jab beete huye lamhoN ki yaad aayee      thaki aakhoN meiN askhoN ke sitaare jhilmilaate haiN      ye kaisa istheyaaki deed aur kaisi majboori          kisi ki bazm tak hum kyoon jaa jaa ke laut aate haiN  

mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do

mere darwaze se ab chand ko ruksat kar do      saath aaya hai tumhaare jo tumhaare ghar se      apne maathe se hata do ye chamakta hua taaj      fenk do jism se kirnoN ka sunahri zewar      tumhi tanha mera gham khaane mein aa sakti ho      ek muddat se tumhare hi liye rakha hai      mere jalte huye seene ka dahakta hua chaand

awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhaayee

 awaara hai galiyon meiN main aur meri tanhaayee      jaayeN to kahan jaayeN har mod pe ruswayee      main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee      ye phool se chehre haiN haNste huye guldaste      koi bhee nahin apna begaane hain sab raste      raahen bhee tamashyee raahen bhee tamashaee      main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee      armaan sulagte haiN seene meiN chitha jaise      qaatil nazar aati hai duniya ke hawa jaise      roti hai mere dil par bajti huyee shehnayee      main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee      har rang meiN ye duniya sau rang dikhaati hai      rokar kabhi hansti hai hanskar kabhi gaati hai      ye pyaar ki baaheN haiN ya maut ki angDaayee      main aur meri tanhaayee main aur meri tanhaayee

tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate

tumhare anjuman se uthke diwane kahaaN jaate      junba basta huye hamse wo ab sare kahaaN jaate      tumhari berukhi ne laaj rakh li waada-faan-e ki      tum aaNkhoN se pila dete to paimane kahaaN jaate      chalo achchha hua kaam aa gayi diwaangi apni      warna ham zamaane bhar ko samjhaane kahaaN jaate  

sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN

sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN      lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN      biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood      bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN      naa jaane kis adaa se liya toone mera naam      duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN      le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB      do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN

angDai par angDai leti hai raat judaaee kee

angDai par angDai leti hai raat judaaee kee      tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee      kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN      maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee      wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par      waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee         uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya      rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee

dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo

dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo      pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo      ye dil zara sa dil teri yaadoN meiN kho gaya      zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo      tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi      apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo

milkar juda huye tho na soya karenge hum

  milkar juda huye tho na soya karenge hum      ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum      aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar      moti palak palak meiN piroyaa karenge hum      jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi      jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum      gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'      sahil pe kashtiyoN ko doobOya karenge hum

Apney Hathoon se yun Chehrey ko chupatey kyon ho?

Apney Hathoon se yun Chehrey ko chupatey kyon ho? Mujh se sharmatey ho to samney atey kyon ho? Tum bhi meri tarah kar bhi lo iqraar -e- wafa Pyar kartey ho to phir chhupatey kyon ho? Ashq ankhoon mein meri dekh kar rotey kyon ho? Dil bhar ata hai to phir dil dukhatey kyon ho? In se wabista hai jub mera muqaddar phir tum Merey shanoon se yeh zulf uthatey kyon ho? Roz  Mar Mar ke mujhey jeeney ko kehtey kyon ho? Milney atey ho to phir Laut jatey kyon ho?

Log jayain ya taira peecha karain

Log jayain ya taira peecha karain  har qadam par sochte hain kia karain  ya hmari talkh baaton ko sahar  ya bta dey kis se hum jhagra karain  dhundhte to hum bhi hain raah-e-frar  sochte to hum bhi hain k kia karain  ik muddat ho gai roye huye  yaar majlis hi koi barpa karey  apni marzi se guzarain zindagi  din ko soyain raat ko jaga karain  chorne ko chor dain dunya magar  itne saare doston ka kia karain  shehar ko shaur-e-qayamt chahiye  yaar ye do chaar chiryan kia karain  aapko ye haq akahir kis ne diya  aap ehl-e-dil ko q ruswa karain  aap ne to phir bahaya khoon-e-khalq  hum agar ghusse may hon to kia karain?  shaakh se q tor laye taza gulab  q kisi titli ka haq mara karain  tum mukammal baat par khamosh ho  log to poora maira jumla karain  bas nhi chalta zmane par agar  baal hain sar par inhe nocha karain  ye sumandar to ugal daita hay laash  qasad karna hay to sehra ka karain  Qais mil jaaye to poochain murshada  ishaq karna chor dain ya hum karain!  

Paron may shaam dhalti hay

Paron may shaam dhalti hay  kahan jana tha mujh ko  kis nagar ki khaak baalon may sajana thi  muje kin tehnio se dhoop chunna thi  kahan kheema lgana tha  meri matti raah-e-syargaah ki humqadam nikli  meri palkon pe taare jhilmilaate hain  adan may aag jalti hay  magar paun may khoon aasham raaste larkharate hain  ye kia sheeraza bandi hay  ye meri bepari kis kunj se ho kar beham nikli  nazar may din nikaalta hay  Paron may shaam dhalti hay  magar main to lahun ki mujamid sil hun  badan ki kasht-e-weeran may  ye kis ki unglio ne umr bhar muj ko kareeda hay  kahan sharyan may chalta hua ye qafla thehra  k main is haath ki raikhaun may rang-e-hina thehra  kahan jana tha mujko  kis jaga kheema lgana tha!

Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri

Main mar mita to woh samjha ye inteha thi meri  Usay khabar he na thi, khak keemya thi meri Main chup howa to woh samjha k baat khatm hovee  Phir uss k baad to awaz jabaja thi meri Jo taana zan tha meri pooshashe dareedah par  Usi k dosh pe raki hovee quba thi meri Main uss ko yaad karoon bhi to yaad ata nahi  Main uss bhool gya hoon yahi saza thi meri Shikast de gya apna guroor he ussko  Wagerna uss k muqabil bisaat kia thi meri Kahee dimagh kahee dil kahee badan he badan  Har ekse dosti yaari juda juda thi meri Main uss ko dekta rahta tha hairato se Faraz  Ye zindagi se taaruff ki ibtedaa thi meri

Hum jo toote to is tarah toote

Hum jo toote to is tarah toote  jaise hathon se girr k pathar par  koi shafaaf aaiina toote  jaise palkon se toot tha aansoo  jaise seene main ik kamaan toote  jaise umeed ki nazuk daali  barg mosam main na gahaan toote  jaise aankhon main khwab ki doori  waqt e takmeel se ulajh jaye  jaise pairon tale zameen nikle  jaise sar par yeh asmaan toote  jaise ik shaakh pe bharosa kia  is pe jitne thay aashiyaan toote  jaise wehshat se hosh aa jaye  jaise ta dair main dheyaan toote  ab jo raiza howay to sochte hain  kis nay dekha tha tootna apna  hum jo toote to raayegaan toote

issi khatir to maine kuza giri se haath khinche hain

ye main jo harf se misre nhi hujrey bnata hun dua-e-neem shab teri ijazat se bnata hun bohat aage ki manzil hay khayal-e-manzil-e-jana main raste tak pohanchne k liye raste bnata hun issi khatir to maine kuza giri se haath khinche hain muje mehsus hota tha k main kaasey bnata hun ijazat hi nhi isko numaysh may lgane ki k main tasweer may jaltey huye kheeme bnata hun maire baad aane waalon se kaho hosla rakhain main khud ko kaat kar in k liye raste bnata hun mujhe jab mustaqil gham ki zarurat tang karti hay main tujh ko qatal kar dainene k mansubey bnata hun na q tark-e-ta'aluq par guman guzre muhabbat ka k main to bedili k kaam bhi dil se bnata hun muje jaise kohkan ko raftgaan ka ranjsh hay Tabish main pathar kaat kaat kar nehrain nhi kutbey bnata hun!

ye hum jo tujh se tujey baar baar maangte hain

ye hum jo tujh se tujey baar baar maangte hain saleeqa-e-talb-o-ikhtyar maangte hain hmara shauq to daikho k paer ki manind Hum aik phool badast-e-hazar maangte hain kisi se keh nhi daina k ishq ho gya hay k lafz maani nhi aitbaar maangte hain chiragh hota hay sahab chiragh se roshan so hum bhi aap se manage ka pyar maangte hain agar wo tu hay to us may hmara dosh nhi k hum to rehmat-e-parwardigar maangte hain!

Tassali dey k maira sabr aazmana mat

Tassali dey k maira sabr aazmana mat main wuza daar-e-sitam hun muje rulana mat main soch hi nhi sakta kisi k bare may meri shikast ka bays muje btana mat ab aur tootne ka hosla nhi muj may jamal-e-yaar muje aayna bnana mat hum ehl-e-ishq palatna muhal kar dain gaye hmare saath do qadam bhi kahi jana mat taire hisab se hum hayrati hi ache thay kaha na tha k hmari samajh may aana mat issi zameen pe rehna pasand hay humko hmare par bhi nikal aayain to urana mat!

meri tanhayi barhaate hain chale jaate hain

meri tanhayi barhaate hain chale jaate hain Hans tlab pe aate hain chale jaate hain is liye ab main kisi ko jaane nhi daita jo muje chor k jaate hain chale jaate hain meri aankhon se baha karti hay unki khushbu raftgaan khawab may aate hain chale jaate hain shadi-e-marg ka mahol bna rehta hay aap aate hain rulate hain chale jaate hain kab tumhe ishaq pe majbur kiya hay hum ne hum to bas yaad dilate hain chale jaate hain aapko kon tamashayi samjhta hay yahan aap to bas aag lgate hain chale jaate hain haath pathar ko barhaun to sagan-e-dunya hayrti ban k dikhate hain chale jaate hain!

Koi takra k subak sar bhi to ho sakta hay

Koi takra k subak sar bhi to ho sakta hay meri tameer may pathar bhi to ho sakta hay q na aey shakhs tujhey haath lga k daikhun tu maire weham se bhar k bhi to ho sakta hay tu hi to hay tu phir aey jumla jamal-e-dunya taira shak aur kisi par bhi to ho sakta hay ye jo hay phool hatheli pe isse phool na jaan maira dil hatheli pe bhi to ho sakta hay shaakh pe baithey parindey ko uraane waale paer k haath may parhar bhi to ho sakta hay kia zaruri hay k baahir hi namu ho meri maira khulna maire andar bhi to ho sakta hay ye jo rait ka teela hay maire qadmon talley koi dam may maire ooper bhi to ho sakta hay kia zaruri hay k hum haar k jeetain Tabish Ishaq kja khail brabar bhi to ho sakta hay!

Issi liye to andhere bhi kam nhi hote

Issi liye to andhere bhi kam nhi hote k apne jism chiraghon may zam nhi hote Khuda pe choriye sahib muamla dil ka hmari umr may qol-o-qasam nhi hote aur ab hay is liye afsos apne hone ka kisi k ho gaye hote to hum nhi hote wo hum hain jinka na hona bhi hone jaisa hay wo hum hain jin k wajud-o-adam nhi hote Ajeeb log hain ye khandan-e-ishq k log k hote jaate hain qatal aur kam nhi hote Hamari aahtain sunne k munatzir logo hmare saath hamare qadam nhi hote abhi se tark-e-ta'aluq ki bata karte ho ye Faisle to mian aik dam se nhi hote tumhe main is liye khud se juda samjhta hun k muj se apne qaseede raqam nhi hote!

Hamain pichaar k kia haysiat tumhari thi

Hamain pichaar k kia haysiat tumhari thi wo jang tum bhi na jeete jo hum ne haari thi aur ab tumhe bhi har ik shakhs acha lgata hay gaye dino may yhi kefiyat hmari thi hmare chehre dam-e-subha daikhte aa kar k hum ne raat nhi zindagi guzari thi Bichar gya wo judayi k mor se pehle k is k baad muhabbat may sirf khwari thi!

Shikasta khawab-o-shikasta paa hun muje duaon may yaad rakhna

Shikasta khawab-o-shikasta paa hun muje duaon may yaad rakhna main aakhri jang lar rha hun muje duaon may yaad rakhna hawayain paigham de gai hain k muje darya bula rha hay main baat saari samajh gya hun muje duaon may yaad rakhna na jaane kufey ki kia khabar ho na jaane kis dasht may basar ho main phir madeene se ja rha hun muje duaon may yaad rakhna muje azzezan-e-man muhabbat ka koi bhi tajurba nhi hay main is safar may naya naya hun muje duaon may yaad rakhna muje kisi se ab bhlayi ki tawaqa nhi hay Tabish main aadtan sab se keh rha hun muje duaon may yaad rakhna!

Di hay wehshat to ye wehshat hi musalsal ho jaaye

Di hay wehshat to ye wehshat hi musalsal ho jaaye raqs karte huye atraaf may jangal ho jaaye aey maire dasht mizajo ye meri aankhain hain in se roomal bhi chu jaaye to badal ho jaaye chalta rehne do mian silsila dildaari ka aashqi deen nhi hay k mukammal ho jaaye halt-e-hijr may jo raqs nhi kar sakta us k haq may yhi behtar hay k pagal ho jaaye maira dil bhi kisi aasayb zada ghar ki tara khud bakhud khulne lagge khud hi muqfal ho jaye doobti naao may sab cheekh rhe hain Tabish aur muje fikar k meri ghazla mukammal ho jaay!

Dukh afsana nahi ke tuj se kahein

Dukh afsana nahi ke tuj se kahein Dil bi mana nahi ke tuj se kahein Aaj tak apni bekali ka sabab Kudh bi jana nahi tuj se kahein Aik to harf-e-ashna the magar Ab zamana nahi ke tuj se kahein Aye khuda dard-e-dil hay bagsish-e-dost Ab-o-dana nahi ke tuj se kahein

Rayt say bot na banaa aay mery achy fankaar

Rayt say bot na banaa aay mery achy fankaar ek lamhy ko Thahar, main tujhy patthar laa doun main tere saamane ambaar lagaa dounlekin kon say rang kaa patthar tere kaam aayega sorkh  patthar jissy dil kahati hay bay-dil duniyaa yaa wo pathur jessy  aaNkh kaa niilaa patthar jis mean sadiiyon ky takhueyur ke parry hon Dorry kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hay ek wo patthar hai jise kahte hain tahziib-e-safed us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar

Khafa Na Raha Karo Her Waqt

Khafa Na Raha Karo Her Waqt Hansa Bhi Karo Kisi Waqt Jab Dil Ki Dahleez Per Ahat Hoti Hai To Tare Ane Ka Andesha Hota Hai Her Waqt Jab Zindagi Hans K Milti Hai To Tera Chehra Nazar Ata Hai Us Waqt Jab Gam Ka Badal Umandta Hai To Teri Yad Stati Hai Us Waqt Jab Tare Jane Ka Lemha Ata Hai To Dil Bohat Tarapta Hai Us Waqt...!

Wo Udaas Dhoop samaitt Kr

Wo Udaas Dhoop samaitt Kr Kahin Wadiyon Mein Chal Dia Ay Mere Dil Tu Na De Sada Jo Guzar Gia So Guzar Gia Ye Safar Kitna Taveel Hai Yahan Waqt Kitna Qaleel Hai Kahan Lot Kr Koi Ayega? Jo Guzar Gia So Guzar Gia Wo Wafaien Thi ya Jafaien Thi Ye Na Soch Kis Ki Khataien Thi Wo Tera Hai UsKo Gale Laga Jo Guzar Gia So Guzar Gia Ye Duniya aik Fareb Hai Yahan Koi Kisi Ka ApNa Nahi Ye ujaar Mehlon Ki Sun Sada Jo Guzar Gia So Guzar Gia...!

Bohat hi maan hay tum par,

Bohat hi maan hay tum par, Suno Paas-e-wafa rakhna... Sabhi se tum milo lekin, zara sa fasla rakhna... Bichar jana bhi to parta hay, zara sa hosla rakhna... Wo sare wasl k lamhe, tum ankhon main sja rakhna... Abi imkan baqi he, abi lab pe dua rakhna... Bohat nayab hain dekho, hamain sab se juda rakhna....!

Zaruri nahi wo shakhs muj se pyar karay

Zaruri nahi wo shakhs muj se pyar karay Kuch b na karay bus aitbar karay Ek phool le aye wo mere lye ek din Chahe sara sal pathron se sangsaar karay Kbi to wo mere lye udas ho Kbi chand ki roshni me mera intzar karay...!

Mohabbat Dukh Nahi Deti

Mohabbat Dukh Nahi Deti Agar Be gharz Ho Jazba Agar Manzil Banay Rasta Agar Chahat K Parday Mein Koi Laalach Na Ho Lipta Agar Tum Sonp Do Sab Kuch Siilay Mein Kuch Nahi Mango Agar Sauda Na Ho Koi Mohabbat Bas Mohabbat Ho...!

Tumhain kaisay kahain Aazaad hain hum

Tumhain kaisay kahain Aazaad hain hum Us nagri mein Aabaad hain hum Jahan soch pe Pehray hotay hain Jahan jeetay hain na martay hain Jahan sog na sehray hotay hain Jahan taaqat andhi hoti hy Jahan munsif behray hotay hain...!

Saarey waadon ko bhula sakta hun,

Saarey waadon ko bhula sakta hun, lekin rehne do..! Main tumhein choar k ja sakta hun, lekin rehne do..! Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz, faisla mein bhi suna sakta hun, lekin rehne do..! Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali, us per main muskura b sakta hun, lekin rehne do..! Sharam aaye gi tumhein warna tumharey waaday, main tumhein yaad dila sakta hun, lekin rehne do...!

Ye zindagi tere sath ho

Ye zindagi tere sath ho Ye aarzo din raat ho, Main tere sung sung chaloon Tu har safar main mere sath ho, Main kantoon per bhi chal parron Tere pyar ki jab barsat ho, Kabhi sham dhalay jab hum milain Na din halay na raat ho, YE ZINAGI TERE SATH HO YE AARZO DIN RAAT HO.

Hum bhi kabhi mohabat kya kartay thay

Hum bhi kabhi mohabat kya kartay thay Jab teri dhun main jiya kartay thay, Hum bhi chup chap phira kartay thay Ankhon main pyas hua karti thi, Dil main toofan utha kartay thay Log aatay thay ghazal sunane ko Hum teri hi baat kya kartay thay, Such samajhtay thay tere wadoon ko Raat din gher main raha kartay thay Wo bhi kya din thay, Tughe bhula ker hum tughe yaad kya kartay thay, Kal tughe dekh ker yaad aaya, HUM BHI KABHI MOHABBAT KYA KARTAY THAY