Skip to main content

issi khatir to maine kuza giri se haath khinche hain

ye main jo harf se misre nhi hujrey bnata hun
dua-e-neem shab teri ijazat se bnata hun


bohat aage ki manzil hay khayal-e-manzil-e-jana
main raste tak pohanchne k liye raste bnata hun


issi khatir to maine kuza giri se haath khinche hain
muje mehsus hota tha k main kaasey bnata hun


ijazat hi nhi isko numaysh may lgane ki
k main tasweer may jaltey huye kheeme bnata hun


maire baad aane waalon se kaho hosla rakhain
main khud ko kaat kar in k liye raste bnata hun


mujhe jab mustaqil gham ki zarurat tang karti hay
main tujh ko qatal kar dainene k mansubey bnata hun


na q tark-e-ta'aluq par guman guzre muhabbat ka
k main to bedili k kaam bhi dil se bnata hun


muje jaise kohkan ko raftgaan ka ranjsh hay Tabish
main pathar kaat kaat kar nehrain nhi kutbey bnata hun!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng