Sochate Aur Jaagte Saanson Ka Ek Dariya Hoon Main,
apne Guldastha Kinaro Ke Liye Bahta Hu Main
jal Gaya Sara Badan, In Maasoom Ki Aag Me,
ek Maasoom Rooh Ka Hai, Jismein Ab Zinda Hu Main
mere Honto Ka Tabasoom, De Gaya Dhoka Tujhe,
tumne Mujhko Baag Jana, Dekhle Sahara Hu Main.
dekhe Meri Pajirayi Ko Aab Aata Hai Kaun,
lamha Bhar To Waqt Ki, Dahliz Par Aaya Hu Main.
chere main ne kabhi lab-o-rukhsar ke qisse gahe gul-o-bulbul ki hikaayat ko nikhaaraa gahe kisi shahazaade ke afsane sunaaye gahe kyaa duniyaa-e-paristaan kaa nazaaraa main khoyaa rahaa jin-o-malaik ke jahaan main har lahajaa agarche mujhe aadam ne pukaaraa barason yon hi diljami-e-aurang ki khaatir sau phuul khilaaye kabhi sau zakhm kharide main likhataa rahaa hijv bagaavat manshon ki main parhataa rahaa qasrnashinon ke qaside ubharaa bhi agar dil main koi jazabaa-e-sarkash is khauf se chup thaa ke koi honTh na si de lekin ye tilismaat bhi taa der na rah paaye aakhir mai-o-minaa-o-daf-o-chang bhi TuutTe yon dast-o-garebaan huaa insan-o-khudaaband nakhachir to tarape qafas-e-rang bhi TuuTe is kashmakash-e-zarraa-o-anjum ki fizaa main kashkol to kyaa afsar-o-aurang bhi TuuTe main dekh rahaa thaa mere yaaron ne barhakar qaatil ko pukaaraa kabhi maqtal ko sadaa di gahe rasn-o-daar ke aagosh main jhuule gahe haram-o-dair ki buniyaad hilaa di jis aag se bharpuur thaa maahaul kaa sinaa wo a...