Skip to main content

Dukh Ki Laher Ne Chheda Hoga

Dukh Ki Laher Ne Chheda Hoga
yaad Me Kankar Pheka Hoga
aaj To Mera Dil Kehta Hain,
woh Is Waqt, Akela Hoga.
main To Aaj Bahut Roya Hu,
tu Bhi Shayad Roya Hoga.
mere Chume Huye Haathon Se,
aur Ko Khat Likhta Hoga.
mera Sathi Sam Ka Tara,
tujhase Aakh Milata Hoga.
yaadon Ki Jalti Shabnam Se,
phoolon Sa Mukhra Dhoya Hoga.
naasir Tera Meet Purana,
tujhko Yaad To Aata Hoga.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.