shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya

shaYad maiN zindagi ki sahar le ke aa gaya
     qaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya


     taa umR DhoonDta raha manzil maiN ishq ki
     anjaam Ye ke garde safar le ke aa gaya
  

     nashtar hai mere haath meiN kaaNdhoN pe maikada
     lo maiN ilaaJe dard-e-zigar le ke aa gaya


     'Faakir' sanam maikade meiN na aata maiN lautkar
     ik zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya