Skip to main content

Dipak rag hai chahat apni kahe sunayen tumhen

Dipak rag hai chahat apni kahe sunayen tumhen
hum to sulagte hi rehte hain kyon sulagayen tumhen

tark-e-muhabbat, tark-e-tamanna kar chukane ke bad
hum pe ye mushkil aan padi hai kaise bulayen tumhen

sannata jab tanhai ke zeher mein bujhata hai
wo ghadiyan kyon kar katati hain kaise batayen tumhen

jin baton ne pyar tumhara nafrat mein badala
dar lagata hai wo baten bhi bhool na jayen tumhen

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.