Skip to main content

hamain to bas ye pta chla tha k oonthon waale chale gaye hain

hamain to bas ye pta chla tha k oonthon waale chale gaye hain
kisi ko iski khabar nhi jo muamla khatam ho gya hay


na titlion jesi dupehar hay na ab wo sooraj gulab jaisa
jisse muhabbat kaha gya, wo mughalta khatam ho gya hay


tumhari baaton k jin me shehtut jhar rhe hain ohi btayain
k talkh aabad may hmara to zayqa khatam ho gya hay


hmari aankhon se khawab-o-khas k tmama pushte htaye jayain
k hmara naraz paanio se mu'ahda ho gya hay


ab is liye bhi hamain muhabbat ko tool daina parega Tabish
kisi ne poocha to kia kahain gaye silsila khatam ho gya hay?

 

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng