Skip to main content

Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum

Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum


Abhi Toot Raha Hai Dushman e Islaam Ka Qeher
Abhi Uthti Nhi Dil Ke Samandar Main Baghawat Ki Leher
Abhi Hans Hans Ker Dye Ja Rahe Hain Jaam e Zeher
Abhi Barood Ki Khushbo Main Hai Lipti Yahan Har Shaam O Seher
Abhi Sabar Hai Darmiyan Magar Sharmindah Hain Hum


Ke Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum


Magar Sabar Yeh Toote Ga To Qayamat Hogi
Phir Zalim Tere Saath Zara Bhi Na Ria'yat Hogi
Or Hoga Char Soo Bol Baala Haq Ka
Or Baatil Ki Hamesha Ki Tarha Ruswayi Hogi
Haan Tareekh Ke Duhrate Oraaq Dekhen Gay Hum


Ke Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum


Ay Arz e Watan Ke Ghaddaron
Jab Elan e Baghawat Hum Karlenge
Han Isi Watan Ki Baqa Ke Liye
Khud Jaan Bhi Hazir Kar Denge
Or Tere Sab Napak Azayim
In Pairon Tale Kuchal Denge
Marna To Muqaddar Hai Apna
Chahen Jee Kar Mar Ya Mar Mar Ker Jee
Phir Jaan Hatheeli Par Rakh Ker
Koi Kaam Hi Acha Kar Lenge
Be Maqsad Jeete Rehne Se
Ba Maqsad Mar Jainge Hum


Ke Abhi Soye Hoye Hain Magar Zinda Hain Hum..

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng