Skip to main content

Paron may shaam dhalti hay

Paron may shaam dhalti hay
 kahan jana tha mujh ko
 kis nagar ki khaak baalon may sajana thi
 muje kin tehnio se dhoop chunna thi
 kahan kheema lgana tha
 meri matti raah-e-syargaah ki humqadam nikli
 meri palkon pe taare jhilmilaate hain
 adan may aag jalti hay
 magar paun may khoon aasham raaste larkharate hain
 ye kia sheeraza bandi hay
 ye meri bepari kis kunj se ho kar beham nikli
 nazar may din nikaalta hay
 Paron may shaam dhalti hay
 magar main to lahun ki mujamid sil hun
 badan ki kasht-e-weeran may
 ye kis ki unglio ne umr bhar muj ko kareeda hay
 kahan sharyan may chalta hua ye qafla thehra
 k main is haath ki raikhaun may rang-e-hina thehra
 kahan jana tha mujko
 kis jaga kheema lgana tha!