Di hay wehshat to ye wehshat hi musalsal ho jaaye
raqs karte huye atraaf may jangal ho jaaye
aey maire dasht mizajo ye meri aankhain hain
in se roomal bhi chu jaaye to badal ho jaaye
chalta rehne do mian silsila dildaari ka
aashqi deen nhi hay k mukammal ho jaaye
halt-e-hijr may jo raqs nhi kar sakta
us k haq may yhi behtar hay k pagal ho jaaye
maira dil bhi kisi aasayb zada ghar ki tara
khud bakhud khulne lagge khud hi muqfal ho jaye
doobti naao may sab cheekh rhe hain Tabish
aur muje fikar k meri ghazla mukammal ho jaay!