Skip to main content

duniyaa ke sitam yaad na apnee hee vafaa yaad

duniyaa ke sitam yaad na apnee hee wafaa yaad
ab mujhako nahin kuchh bhee muhabbat ke sivaa yaad

chhorhaa thaa jise pahale-pahal teree nazar ne
ab tak hai vo ik naghm-e-be-saaz-o-sadaa yaad

jab koee hanseen hota hai sargarm-e-navaazish
uss waqt vo kuchh aour bhee aate hain sivaa yaad

kyaa janiye kyaa ho gayaa arbaab-e-junoon ko
marne kee adaa yaad na jeene kee adaa yaad

muddhat huee ik hadas-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dharhakne kee sadaayaad

haan-haan tujhe kyaa kaam,mere shiddhate- gham se
haan-haan nahin,mujhko tere daaman kee hawaa yaad

main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hee chukaa thaa
kyon aa gayi aise mein teree larzish-e-paa yaad

kyaa lutf ki main apnaa pataa aap bataauon
keeje koee bhoolee huee khaas apnee khataa yaad

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng