Skip to main content

Bohat hi maan hay tum par,

Bohat hi maan hay tum par,
Suno Paas-e-wafa rakhna...

Sabhi se tum milo lekin,
zara sa fasla rakhna...

Bichar jana bhi to parta hay,
zara sa hosla rakhna...

Wo sare wasl k lamhe,
tum ankhon main sja rakhna...

Abi imkan baqi he,
abi lab pe dua rakhna...

Bohat nayab hain dekho,
hamain sab se juda rakhna....!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.