Skip to main content

Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur

Lazim tha ki dekho mera rasta koi din aur
tanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur

mit jayega sar, gar tera paththar na ghisega
hun dar pe tere nasiyafarsa koi din aur

aaye ho kal aur aj hi kahate ho ki jaun
mana ki hamesha nahi acha koi din aur

jate hue kahate ho qayamat ko milenge
kya khub! qayamat ka hai goya koi din aur

han ae falak-e-pir, jawan tha abhi aarif
kya tera bigadata jo na marata koi din aur

tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar ke
phir kyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur

tum kon se aise the khare dad-o-sitad ke
karta malakulmaut taqaza koi din aur

mujhase tumhen nafrat sahi, nayyar se ladai
bachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur

guzri na baharhal ya muddat khushi-nakhush
karana tha javanmarg! guzra koi din aur

nadan ho jo kahate ho ki kyon jite ho ‘ghalib’
qismat mein hai marane ke tamanna koi din aur

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng