mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle

mai chahta bhi yehi tha, wo bewafaa nikle
     use samJhne ka koi to silsila nikle

     kitaab-e-maazi ke panne ulaT ke dekh zara
     na jaane kaun sa panna muDa hua nikle

     jo dekhne meiN bahut hee karib lagtaa hai
     usi ke baare meiN socho to faasila nikle