Skip to main content

Badalate waqt ka ik silsila sa lagata hai

Badalate waqt ka ik silsila sa lagata hai
ke jab bhi dekho use dusara-sa lagata hai

tumhara husn kisi aadmi ka husn nahi
kisi buzurg ke sachi dua sa lagata hai

teri nigah ko tamiz rang-o-nur kahan
mujhe to khun bhi rang-e-hina sa lagata hai

damag-o-dil hon agar mutmain to chaon hai dhup
thapeda lu ka bhi thandi hawa sa lagata hai

wo chat pe aa gaya betab ho ke aakhir
khuda bhi aj sharik-e-dua sa lagata hai

tumhara hath jo aaya hai hath mai mere
ab aitabar ka mausam hara-sa lagata hai

nikal ke dekho kabhi nafaraton ke pinjare se
tamam shahar ka “manzar” khula sa lagata hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.