Skip to main content

Suna hoga bohat tum ne...



Suna hoga bohat tum ne... kahiN aankhoN ki rim jhim ka
 kahin palkoN ki shabnam ka
parha hoga bohat tumne.... kahiN lehjay ki barish ka
 kahiN sagar ke aansoo ka
magar tum ne kabhi humdam...kahin daikhay kahin parkhay
kisi tehreer ke aansoo
mujhe teri judaai ne... yehi mairaaj bakhshi hai
ke main jo lafz likhta hoN....woh saray lafz rotay hain
 ke main jo harf bunta hoN...woh saray bain kartay hain
 mere sang is judaai main...mere alfaz martay hain
 sabhi tareef kartay hain...meri tehreer ki lekin..
 kabhi koi nahin sunta...mere alfaz ki siski
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil...usi taseer ke aansoo
kabhi daikho mere humdam
meri tehreer ke aansoo ..