Skip to main content

charaaG aaftaaB gum, baDi haseen raat thee

charaaG aaftaaB gum, baDi haseen raat thee
     shabaaB ki naqaaB gum, baDi haseen raat thee
  

     muJhe pila rahe the wo ke khud hi shamma buJh gayee
     gilaas gum, sharaab gum, baDi haseen raat thee


     likHa tha jis kitaab meiN ke ishq to haraam hai
     huyee wohi kitaab gum, baDi haseen raat thee


     laboN se laB jo mil gaye, laboN se laB hi sil gaye
     sawaal gum, jawaab gum, baDi haseen raat thee

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.