Skip to main content

Chupa Le Apne Sare Gham Zamane Ko Dikhana Thik Nahi

Chupa Le Apne Sare Gham Zamane Ko Dikhana Thik Nahi
 Is Qadar Ay Admi Tera Toot Jana Thik Nahi

Jo Tere Liye Tha Tujhe Mila JO Nahi Hai Tera Woh Kyun Mile
 Apne Nafs Ko Yun Bigarna Dil e Nadan Kuch Thik Nahi

Jab Sukh Mila To Shukar Nahi Or Dukh Mila To Shikwa Gila
 Apne Khuda Se Tere Rawabit Ay Musalman Thik Nahi

Kisi Ko Matlab Nahi Kisi Se Hain Apni Khushiyon Ke Sabi Mutlashi
 Per Kisi Ki Khushi Main Khush Na Hona Meri Nazar Main Thik Nahi

Phalon Se Ladde Onche Darakht Rehte Hain Hamesha Jhuke Hoye
 Khali Bartan Ki Tarha Tera Shor Machana Thik Nahi

Qaroon Ka Khazana Bhi Dafn HOa Yousuf Ka Husn Bhi Manand Para
 To Ay Saatt Saal Ke Aadmi Tera Yeh Akarna Thik Nahi

Dil Main Liye Junon Agar Nikle Ho Manzil Ke Liye
 Phir Faaslon Ko Napna Ay Mard e Javan Kuch Thik Nahi

Ummed Na Koi Bandh Jai Intizar Ko Wajha Na Mil Jai
 Bicharte Samay Ay Jaan e Jaan Tera Mur Ker Dekhna Thik Nahi

Sanam Ke Age Kyun Jhuke Waqaar Apna Rakh Buland
 Muhabbaton Ke Husol Main Yun GirGirana Thik Nahi

Har Baat Pe Keh Dete Ho Fahadd Yeh Thik Nhi Woh Thik Nahi
 Ek Tum Hi Jahan Main Thik Ho Bas Baqi Kya Kuch Bhi Thik Nahi??

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.