badbaan kab kholta hun ,paar kab jata hun main
roz raste ki tara darya se laut aata hun main
subha dam may kholta hun rassi apne paun ki
din dhalley khud ko kahi se haank lata hun main
apni janab se bhi daita hun kachokey jism ko
uski janib se bhi apne zakhm sehlata hun main
aik bache ki tara khud ko bitha k saamne
khoob khud ko kosta hun khoob samjhata hun main
khushk patton ki tara hay quat-e-goyai bhi
baat koi bhi nhi aur bolta jata hun main
ye wohi tanhayi jis se behal jata tha dil
ye wohi tanhayi hay ab jis se ghabrata hun main
ishaq may manya hay ghalib ki tarafdaari muje
raub jab chalta nhi paaun par jata hun main
maire haath aate hain tabish dusre mousam k phool
Aik mousam may to tehni tak pohanch pata hun main