Skip to main content

meri tanhayi barhaate hain chale jaate hain

meri tanhayi barhaate hain chale jaate hain
Hans tlab pe aate hain chale jaate hain


is liye ab main kisi ko jaane nhi daita
jo muje chor k jaate hain chale jaate hain


meri aankhon se baha karti hay unki khushbu
raftgaan khawab may aate hain chale jaate hain


shadi-e-marg ka mahol bna rehta hay
aap aate hain rulate hain chale jaate hain


kab tumhe ishaq pe majbur kiya hay hum ne
hum to bas yaad dilate hain chale jaate hain


aapko kon tamashayi samjhta hay yahan
aap to bas aag lgate hain chale jaate hain


haath pathar ko barhaun to sagan-e-dunya
hayrti ban k dikhate hain chale jaate hain!

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.