mohabbatoN meiN bhi ka'ee madd-o-jazar deikhey heiN
saba ki dastak pe toot'tey huwey ghar deikhey heiN
meiN us ki sookhi hui aaNkhoN pe kya yaqeeN karta!
meiN ne thehrey huwey paani meiN bhaNwar deikhey heiN
pat'tey toot'tey heiN to shaakoN ko khooN rulaatey heiN
tum ne khizaaN meiN kabhi ghaor se shajar deikhey heiN!
kisi chaman ka mujhey koi nishaaN kaheeN na mila
haaN dasht ke saaey meiN ne ta'hadd-e-nazar deikhey heiN
meiN ne na thakney ka sabaq seekha hey parindoN se
wo jab miley heiN un ke paroN meiN safar deikhey heiN
nasha ho 'ishq' ka ya 'janm-o-janam' ke rishtoN ka
meiN ne dinoN meiN utartey ye asar deikhey heiN