Dasht mein ik telism e aab kay saath

Dasht mein ik telism e aab kay saath
 Door takk hamm gaey sarab kay saath

Phir khizan aaei aur khizan kay baad
 Khaar khilnay lagay gulaab kay saath

Raat bharr toot'ti huwi neendein
Jurr gaein sehr e maahtaab kay saath

Hamm sada ki tarah bujhay huway thay
 Woh tha pehli si aab o taab kay saath

Chhoti umron ki pehli pehli baat
 Kuchh takalluf say,kuchh hijab kay saath

Aur phir yeh nigaah e kheera bhi
 Doob jaey gi aaftaab kay saath

Raat ki tashtari mein rakhi hain
 Meri aankhein kisi kay khwab kay saath

Uss gali mein na kesay koei jaey
 Shaam ko iss dill e kharab kay saath

Yeh faqat rasm hi nahien ay doast!
 Dill bhi shamil hai intasab kay saath