Skip to main content

Shehre-Fana Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon

Shehre-Fana Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon
Ek Bujhta Sa Diya Hon ,Tere Kis Kaam Ka Hon


Tu Rafaqat K Liye Or Kisi Ko Chun Le
Me To Khud Aabla Pa Hon Tere Kis Kaam Ka Hon


Tujh Ko Darkar Hain Phoolo K Mehkate Saaye
Main To Sehra Me Khara Hon Tere Kis Kaam Ka Hon


A Paristare Gule-Tar Tera Rasta Takte Takte
Shaakh Pe Sokh Gaya Hon Tere Kis Kaam Ka Hon


Tu B Auron Ki Tarah Mujh Se Kinara Kar Le
Sari Duniya Se Bura Hon Tere Kis Kam Ka Hon..!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng