Skip to main content

Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga

Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga
Nazar Main Chehra Ussi Ka Hoga
Milan Ki Hasrat To Hogi Tumko
Milan Ka Lekin Yaqin Na Hoga
Betab Guzra Har Lamha Hoga


Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga


Phir Ek Hi Pal Main Tum Sari Khushiyan
Ussi Se Mansoob Kar Chuko Gay
Tumhare Jazbaton Se Reh Ker Anjan
Woh Apni Hi Dunya Main Masrof Hoga
Chalak Kar Daman Pe Jo Gire Ga
Wohi Muhabbat Ka Pehla Anso Hoga


Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga


To Raaston Pe Yaqin Na Hoga
Tum Usko Pane Ki Justujo Main
Raahen Badal Kar Chala Karo Gay
Ke IsKe Akhir Main Woh Mile Ga
Magar Yeh Tumhara Wehem Hi Hoga
Tab Hi Khuda Ke Hone Ka Yaqin Hoga


Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga


Phir Chaho Gay Tum Usse Bhool Jana
Kabhi Bhi Usko Nazar Na Aana
Bujha Ke Shamma e Muhabbat
Tum Chaho Gay Boht Door Jana
Phir Saamne Hoga Woh Or Tumko
Apne Hi Waade Se Mukarna Hoga


Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga


Magar Khudaya Woh Waqt Na Aye
Tum Jis Ko Chaho Woh Mil Na Paye
Kisi Ki Yaaden Tumhe Rulayen
Meri Dua Hai Meri Dua Hai
Tumhare Lab Per Jo Naam Aaye
Wohi Tumhara Naseeb Hoga


Jab Tumhe Bhi Ishq Hoga..

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng