baad muddat unheN dekh kar yooN laga

baad muddat unheN dekh kar yooN laga
     jaise betaab dil ko qaraar aa gaya


     aarzoo ke gul muskuraane lage
     jaise gulshan meiN bahaar aa gaya


     tishna nazreN mili shokh nazroN se jab
     maiN barasne lagi jaam bharne lage


     saaqiyaa aaj teri zaroorat nahiN
     bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya


     raat sone lagi subah hone lagi
     shamma buJhne lagi dil machalne lage


     waqt ki roshni meiN nahaayee huyi
     zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya