Shikasta khawab-o-shikasta paa hun muje duaon may yaad rakhna

Shikasta khawab-o-shikasta paa hun muje duaon may yaad rakhna
main aakhri jang lar rha hun muje duaon may yaad rakhna


hawayain paigham de gai hain k muje darya bula rha hay
main baat saari samajh gya hun muje duaon may yaad rakhna


na jaane kufey ki kia khabar ho na jaane kis dasht may basar ho
main phir madeene se ja rha hun muje duaon may yaad rakhna


muje azzezan-e-man muhabbat ka koi bhi tajurba nhi hay
main is safar may naya naya hun muje duaon may yaad rakhna


muje kisi se ab bhlayi ki tawaqa nhi hay Tabish
main aadtan sab se keh rha hun muje duaon may yaad rakhna!