Skip to main content

Rayt say bot na banaa aay mery achy fankaar

Rayt say bot na banaa aay mery achy fankaar

ek lamhy ko Thahar, main tujhy patthar laa doun

main tere saamane ambaar lagaa dounlekin

kon say rang kaa patthar tere kaam aayega

sorkh  patthar jissy dil kahati hay bay-dil duniyaa

yaa wo pathur jessy  aaNkh kaa niilaa patthar

jis mean sadiiyon ky takhueyur ke parry hon Dorry

kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii

jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hay

ek wo patthar hai jise kahte hain tahziib-e-safed

us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai

ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar

haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai

jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN

sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar

mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar

is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai

haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai

ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.