Koi takra k subak sar bhi to ho sakta hay
meri tameer may pathar bhi to ho sakta hay
q na aey shakhs tujhey haath lga k daikhun
tu maire weham se bhar k bhi to ho sakta hay
tu hi to hay tu phir aey jumla jamal-e-dunya
taira shak aur kisi par bhi to ho sakta hay
ye jo hay phool hatheli pe isse phool na jaan
maira dil hatheli pe bhi to ho sakta hay
shaakh pe baithey parindey ko uraane waale
paer k haath may parhar bhi to ho sakta hay
kia zaruri hay k baahir hi namu ho meri
maira khulna maire andar bhi to ho sakta hay
ye jo rait ka teela hay maire qadmon talley
koi dam may maire ooper bhi to ho sakta hay
kia zaruri hay k hum haar k jeetain Tabish
Ishaq kja khail brabar bhi to ho sakta hay!