Tassali dey k maira sabr aazmana mat

Tassali dey k maira sabr aazmana mat
main wuza daar-e-sitam hun muje rulana mat


main soch hi nhi sakta kisi k bare may
meri shikast ka bays muje btana mat


ab aur tootne ka hosla nhi muj may
jamal-e-yaar muje aayna bnana mat


hum ehl-e-ishq palatna muhal kar dain gaye
hmare saath do qadam bhi kahi jana mat


taire hisab se hum hayrati hi ache thay
kaha na tha k hmari samajh may aana mat


issi zameen pe rehna pasand hay humko
hmare par bhi nikal aayain to urana mat!