Skip to main content

jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai

jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai
aankhon se ashk hai ravan jan bhi beqarar hai

hone ko fasl-e-gul bhi hai davat-e-aish hai magar
apni bahar ka mujhe aj bhi intazar hai

sare sahare ishq ke toot chuke hain hijr mein
ek tumhari yaad bas dard ke gam-gusar hai

ahad-e-vafa ka aap ke lutf-o-karam ka aap ke
aur kisi ko ho na ho mujh ko aitabar hai

lut gai gham ke aabaru lut chuki dil ke aarzoo
‘yahya’ nigah-e-lutf ka phir bhi ummidvar hai