dil ki batain bata deti hain ,' aankhen'




dil ki batain bata deti hain ,' aankhen'
 dharkanon ko jaga deti hain ,'aankhen'
 dil pe chalta nahi jaadoo ,chehron ka kabhi
 dil ko to ,deewana bana deti hain, 'aankhen'
 woh zubaan se izhaar nahi karte to na kare,
 haal -e-dil suna deti hain, 'aankhen'
aata hai jab jawani ka daur ,to my love
 sundar sapne ,basa deti hain ,'aankhen'
 jab koi gum aata hai hum per,to b izhaar karti hain ,'aankhen
 mana ke neend aati hai ,'aankhon ' me hi
 magar kabhi kabhar ,neend ura deti hain ,'aankhen'
 to dekha tumne mere yaar
khushi ho ya gum izhaar karti hain aankhen...............................