Skip to main content

Jo DIL ko Be-kal rakhta hai, Woh Chand Nahein Ek CHERA hai,

Jo DIL ko Be-kal rakhta hai, Woh Chand Nahein Ek CHERA hai,
 Jo Sham-o-Sehar Tarapta hai, Woh Phool Aisa Lehja he.

Ek Aahat he, Har Raste Par, Ek Dard sa he, ManziL ManziL,
 Kiya Janiye Qis Khoj mein Hai, Kiya Kahiye Kon AkaiLa Hai.

Jin Shakhon Par Kuch Phool Khiley they, Chahat ke 100 Rang liye,
 En Shakhon Par Ab Kuch Bhi Nahein, Ek Shookha Patta Thehra Hai.

Kine he Vaadey Khuwab huwey, Kitnay he Bandhan Toot gaye,
 Aye DiL, Aye DiL, Be-Taab Na ho, Yeh Duniya he Yeh Duniya hai.

Lout Aye Jane Waley to Yeh Samgho DiL ki Jeet Hui,
 Warna to Akaili Ra'hon par kab Lout k Koi Aata hai,

Us Paikar Naz ko Kon Kahey, Ek Khuwab he Jaagti Aankhon ka,
 Woh Aankhein kiya Kuch Kehti hein, Ab kon kahey Sab Dhoka Hai.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.